Topics
Sawal : hamari bhanji ki Umar das
saal hai. Paanch saal pehlay is ki tabiyat kharab ho gayi thi. Subah se shaam
taq mun se aur pishaab ke rastay musalsal khoon behta raha. Chaar saal ke baad
wohi bemari Aud kar aayi lekin ab sirf mun se khoon aata hai aur khoon itna
ziyada hota hai ke woh kaliyan bhar bhar kar thookti rehti hai. Is ke saaray
jism par neelay neelay chakatay par jatay hain. Doctoron ki tashkhees yeh hai
ke is bachi ko kisi ne zeher diya hai ya is ne koi zahrili cheez kha li hai. Doctoron
ka yeh bhi khayaal hai ke usay tea bi ho gayi hai. Jab bhi hamari baji kisi hospital
mein dikhaane ke liye jati hain to sab se pehlay dr yeh puchhte hain ke aap
souteli maa to nahi hain. Hum bohat dukhi aur pareshan hain. Hum se apni bhanji
aur baji ki yeh haalat dekhi nahi jati. Yeh baat aur arz kar dun ke mujhe yeh
baat maloom hai ke Allah taala ke fazl o karam se aap ke zirsayh kayi insani
jaanen bachi hain. Lillah hamein mayoos nah kijiyej ga.
Jawab : dimagh, halaq, masoorho
aur pehphron ke mutasir hojane se din ya raat ko sotay waqt mun mein khoon bhar
jata hai. Ilaaj yeh hai ke umdah qisam ki roi le kar do phoyon par aik martaba
سم
الله الرحمن الرحيم
سَبِّحِ
اسْمَ
رَبِّكَ
الأَعْلَى.
الَّذِي
خَلَقَ فَسَوَّى. وَالَّذِي قَدَّرَ فَهَدَى.
وَالَّذِي أَخْرَجَ الْمَرْعَى. فَجَعَلَهُ غُثَاءً أَحْوَى.
Parh kar dam karen aur aik aik phoya dono kaanon mein raat ko sotay
waqt rakh den. Agli raat yeh phoyey nikaal kar dosray do phoyon par dam kar ke
kaanon mein rakh den. Amal ki muddat saat roz hai. phoye jama kar ke bahtay
pani ya kunwein mein daal den. Is ke ilawa puranay se purana, bohat purana taat
talaash kar ke is ko jala len. Jab jal jaye is ko unglio se masal kar bareek
powder bana len aur shehad mein mila kar subah shaam bachi ko chatayein. Sirf teen
din. Teen din maadi ilaaj saat din Rohani ilaaj se yeh marz Insha Allah hamesha
hamesha ke liye khatam ho jaye ga. Yeh baat zehan se nikaal di jaye ke bachi ko
kisi ne zeher diya hai.