Topics
Sawal : bhai ki shadi mere shohar
ki behan ke sath hui thi. Aur bhawaj mein ikhtilafat ka assar meri azdawaji
zindagi par bhi par raha hai. Meri bhawaj apne bhai ke ghar chali gayi hain aur
mujhe mere bhai ke ghar bhaij diya gaya hai. Mere sasural mere bhai par zor
daal rahay hain ke woh apne biwi ko Talaq day den. Agar aisa hua to intiqami
karwai ke tor par mere shohar bhi mujhe Talaq day den ge halaank nah mere bhai
is baat par tayyar hain aur nah mere shohar. Aap kkhuda ke wastay bitayen ke
mein kya karoon.
Jawab : raat ko sonay se pehlay
41 martaba surah ikhlaas parh kar baat kiye baghair bistar mein chali jayen. Ankhen
band kar ke apne shohar ka tasawwur karte karte so jayen aur aap ke bhai yahi
surah 41 baar parh kar baat kiye baghair bistar mein seedhay late kar aankhon
se apni biwi ka tasawwur karte karte so jayen. Jab taq maamla tey ho yeh amal
jari rakha jaye. Mutmaen rahen Talaq nahi ho gi aur dono ghar abad rahen ge.