Topics
Sawal : mere larke ke mun se kaafi
khoon aata hai. Koi bhi bemari doctoron ki pakar mein nahi aayi. Agar koi dawa
den to foran khoon anay lagta hai. Khoon aik dam hi aana shuru ho jata hai aur
phir khud hi band ho jata hai. Pehlay thora khoon aata tha magar ab khoon ki
ultian shuru ho gayi hain. Saans bhi khch khch kar laita hai. Jawan beta hai
aur mera ro ro kar bura haal ho gaya hai. Mayoos ho kar aap ke Dur par dastak
day rahi hon. Koi aisa hal ya ilaaj batlaein ke mera beta theek ho jaye.
Jawab : kahin se purana taat
talaash kar ke jala len aur is ki raakh shehad mein mila kar rakh len. Rozana subah,
dopehar aur raat raakh miley shehad ka aik chamcha le kar bsm Allah shareef ke
sath یا شافی یا شافی یا شافی یا کافی یا کافی یا کافی یا ودود یا ودود یا
ودود یا رحیم یا رحیم یا رحیم parh kar dam kar ke betay ko khelate rahen, qaabiz aur garam ashya
se parhaiz karayen.