Topics

Aik So Pachaas Cheenkain

Sawal    : Poooray saal naak se pani behta hai aur cheenkain aati rehti hain. Yeh subah ke waqt shuru hoti hain aur zawaal ke waqt taq taqreeban so daidh so cheenkain aa jati hain. Sooraj dhalnay ke sath sath yeh cheenkain khatam ho jati hain. Har waqt jism tapta rehta hai. Uthte baithtay larkhara jata hon. Aankhon ke samnay aksar o beshtar andheray ka aik parda aa jata hai. Dimagh sun rehta hai. Maloom hota hai ke jism khokhala hai. Khud ko hua mein urta hua mehsoos karta hon. Gardan ke pathon aur kamar mein shadeed jalan aur dard rehta hai. Hafza Jawab  day gaya hai aur sir ke baal taizi se jhar rahay hain.


Jawab  : Das sair kalay chuney le kar ghar mein saaf kar ke Piswa len. Subah, dopehar, shaam khanay se pehlay is aattay ki aik rootti pkwa kar kha liya karen. Khanay se pehlay rootti par makhan chprh liya karen. Makhan khalis hona chahiye. Das sair chnon ka aatta aap ke marz ka mukammal ilaaj hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI