Topics
Sawal : pedaishi tor par mere
haath, peeron aur baghlon mein be hadd paseena aata hai yun samajh len ke jism
par se pani ke qatray tpkte rehtay hain. Likhnay parhnay ka koi kaam karne mein
bohat dushwari paish aati hai. Kaghaz ya gatta haath ke neechay rakh kar likhna
parta hai. Garmiyon mein pandrah bees minute mein poora romal tar ho jata hai. Is
ke bar aks sardiyoon mein paseena kam aata hai. Mualij kehte hain ke is ka koi
ilaaj nahi hai kyunkay aap ki gardan ke paas jo ghudood hain woh bohat hassas
hain. Isi liye ziyada paseena aata hai. Mein ne aur bhi hassas logon ko dekha
hai. Inhen paseena is terhan nahi aata. Is waqt meri Umar 26 saal hai. Hathon mein
paseena nahi aata to is waqt hathelion mein be hadd tapish hoti hai. Aksar log
jab mujh se haath milatay hain to kehte hain kya tumhe bukhaar hai jabkay mein
bilkul normal hota hon. Meri is bemari ka Shafi ilaaj bitayen.
Jawab : aap jab bhi pani pyin yeh
amal parh kar dam kar len.
بسم اللّٰہ الرحمٰن الرحیم
یَا حَفِیْظُ یَا حَفِیْظُ یَا
حَفِیْظُ
یَا وَدُوْدُ یَا وَدُوْدُ یَا
وَدُوْدُ
یَا بَدِیْعُ یَا بَدِیْعُ یَا
بَدِیْعُ
یَا بَدِیْعَ الْعَجَاءِبِ
بِالْخَیْرِ یَا بَدِیْعُ
is ke ilawa 90 din taq namak, mirch, gosht, anda, garam masalha
waghera se bilkul parhaiz karen.