Topics
Sawal : mere bhai un dinon pareshan hain. Har waqt
sochon mein doobe rehtay hain aur sahet roz burrows kharab hoti ja rahi hai. Un
ki is haalat ka zimma daar un ka aik dost hai jisay woh bohat chahtay hain
lekin woh dost hadd se ziyada khud gharz hai. Bhai ki wajah se poora ghar is
shakhs ki be intahaa izzat karta hai lekin is ka haal yeh hai ke nah sirf yeh
bhai se seedhay mun baat nahi karta balkay deegar doston ke samnay un ke sath
nihayat tauheen aamaiz andaaz mein paish aata hai. Un sab baton ke bawajood
bhai shaam ko thakey hare wapas atay hain to aaraam ke bajaye apne matlab
parast dost ki aik jhalak dekhnay nikal jatay hain aur phir raat gay ghar
lottay hain. Tashweesh-naak baat yeh hai ke dost
ki be rukhi ke bawajood bhai ghar walon se daur is namaqool shakhs ki taraf khinchtey ja rahay hain. Mein aap se dast
basta iltija karti hon ke koi aisa Rohani ilaaj bta den ke hamara khoya hua bhai
hamein wapas mil jaye warna un ka mustaqbil barbaad ho jaye ga aur is baat ka
walidain ko kis qader sadma ho ga is ka andaza aap bakhoobi kar satke hain.
Jawab : jab taq aap ke bhai ka
zehan normal ho rozana raat ko sotay waqt 41 martaba aayat al kursi azeem taq
parh kar pani par ya doodh par ya chaye par dam kar ke pila diya karen.