Topics
Sawal : mein aik petrol company
mein kaam karta hon aur mere sath aik sahib jo India ke hain lekin hindu hain,
bohat shareef aadmi hain, khush ikhlaq hain aur woh aik saal se bohat pareshan
hain, un ka aik beta hai jis ki Umar 12 saal hai. Is bachay ki aankhh ke andar
dard aur poooray sir mein dard hota hai. Aur yeh dard har waqt rehta hai, kabhi
sir dard kam hota hai lekin aankhh mein dard rehta hai. Unhon ne bohat ilaaj
karwaya. India mein bohat barri barri medical institute mein check up karwaya. Kisi
ne bataya ke msqt mein koi dam karta hai. Wahan gay lekin faida nahi hua to hum
se kehnay lagey ke aap hamaray liye kya kuch kar satke hain to karen. Meharbani
ho gi. Mein ne un se kaha ke mein khwaja sahib ka colum parhta hon aur un se
logon ko bohat faida hua hai. Mein un ko khat likhta hon aur un ke wazifay
qurani ayaat ke hotay hain. Aap kis terhan parheen ge woh kehnay lagey ke aap
baba jee ko likhain woh jis terhan kahin ge hum is terhan karen ge. Umeed hai
aap is maslay ka hal zaroor nikalen ge aur mein aap ke liye dua karta rahon ga.
Is aadmi ki pareshani dekhi nahi jati. Aik ghair mazhab ko shayad Allah taala
imaan ki roshni day day. ( ameeen ). Bachay ka naam rajyo makr jee hai.
Jawab : rang aur roshni ke ilaaj
ke tareeqa par rajyo makr jee ko chaar qisam ke pani pilain. Niilii shu-aon ka
pani subah shaam, zard shu-aon ka pani khanay se pehlay, surkh shu-aon ka pani
khanay ke baad, sabz shu-aon ka pani khanay ke baad. Raat ko sotay waqt pani ki
khoraak 2, 2 oons honi chahiye no inch baara inch 9 x 12 safaid pakkay sheeshay
par neela rang paint kara ke 24 ghantay waqfa waqfa se deikhein. Rozana asar
aur maghrib ke darmain Sooraj ghuroob honay se pehlay aik chitank garam garam
jalebi khilain. Jalebi ke sath sheerah ziyada hona chahiye. Subah, dopehar,
shaam aur raat الْحق الْنوْر parh
kar unglio par dam kar ke aankhon par phairen. Ilaaj ki muddat chalees roz hai.
Ilaaj ke douran rozana do rupay khairaat karen.