Topics

Aawazian Aati Hain

Sawal   : saat saal pehlay meri behan ke kaanon mein aawazian aana shuru huien. Pehlay pehal to hamein kuch samajh mein nahi aaya ke asal baat kya hai. Woh kehti theen ke koi tally pithi ke zariye mujh se baat karta hai. Aik do roz taq yuhin aam doctoron ke paas le kar gay. Magar un ki samajh mein kuch nahi aaya. Teesray chouthay roz se inhen nafsiati mualij ke paas le kar gay. Ilaaj karwane se aawazian aana to band ho gayeen magar aahista aahista un ka gussa barhta gaya. Pehlay inhen gussa nahi aata tha. Bemari ke baad kabhi kabhar barron se badtameezi se baat kar layte theen to hamein woh bhi bara bura aur ajeeb sa lagta tha. Magar bemari samajh ke chup rehtay they phir woh bad zubani aur galion par agaien. Aur ab haalat yeh hai ke baat baat par maar pait karne lagti hain. Bila waja hi ulajhti hain. Saat saal se baqaida ilaaj jari hai. Kayi dafaa hasptl mein bhi aydmt karwa chuke hain. Bijli waghera bhi lagti rehti hai magar sirf chand roz sukoon se guzarte hain ke phir wohi haalat ho jati hai. Zehan mein ganday khayalat atay hain. Gandi baatein bhi karne lgtin hain, barron ka koi lehaaz nahi hai. Inhen bhi maarny se guraiz nahi kartin. Gaaliyan dena to un ke liye aam baat hai koi maheman agar aa jaye to chand minute to theek rehti hain phir maheman ki bhi kher nahi hoti.
Is wajah se ab hamaray ghar mein rishta daar kam atay hain. Aap ko kya batau bohat buray halaat hain. Har waqt larai jhagrre ki wajah se parhai bhi theek terhan se nahi ho sakti. Ilaaj to baqaida ho raha hai aur aaj kal phir hasptl mein aydmt hain. Wahan bhi larai jhagra karti hain. Narson waghera ko bhi maarny lagti hain. Aydmt karwane se pehlay yeh haalat thi ke neend bohat kam aati thi. Raat raat bhar jaagti theen. Sukoon aur neend ki golion ke bawajood neend nahi aati thi. Jo log so rahay hotay they baar baar inhen ja ja kar dekhatii theen kabhi maar bhi deti theen.


Jawab  : teen Adad safaid rang ki cheeni ki paleton par
بِسْمِ اللّٰہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ اور اَلرَّضَاعَتْ عَمَانَوِیْلُ۔. Aur arq ghulaab se likh kar niilii shu-aon ke pani 2, 2 oons se dho kar subah shaam pilain. Nafsiati ilaaj jari rakhen. Hamari dua hai Allah taala aap ki barri behan ko sahet ataa karen. Ameeen

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI