Topics
Sawal : bachpan aur jawani ke
ibtidayi daur mein mujhe har qisam ki Rohani musarrat haasil thi. Lekin pichlle
chaar paanch saloon se mein sakht zehni kashmakash mein mubtala hon. Mujhe yeh
rog khaye ja raha hai ke taleemi maidan mein mujhe woh darakhshan kamiyabiyan
haasil nahi huien jo guzashta daur mein mera khaasa theen. Mujhe yeh bhi ilm
hai ke meri zehni nashonuma mein koi farq nahi aaya kyunkay meri maloomat aama
herat angaiz tor par barh chuki hai. Taleemi lehaaz se ost kamyabion ne mujhe
zehni mareez bana diya hai. Nateejatan mojooda daur ki mamooli si na insafi bhi
bardasht nahi kar sakta.
Jawab : raat ko sonay se pehlay
aadh ghanta taq mukhtalif zawiyon se apne dastakhat kijiyej. Ziyada se ziyada
chalees roz mein masla hal ho jaye ga.