Topics

Jism Mein Aag

Sawal   : mere ghar mein bohat pareshani hai. Meri biwi bemaar hai. Usay bemaar hue taqreeban teen mah honay ko hain. Is ke dil mein dard rehta hai aur baen janib pasliyon ke neechay bhi kabhi kabhi kamar mein bhi dard honay lagta hai. Lekin ziyada takleef seenay aur baen janib pasliyon ke neechay hoti hai. Dard jounhi shuru hota hai kehti hai ke dil ghabra raha hai. Aur yun mehsoos hota hai jaisay jism mein aag lagi hui hai. Ziyada ghabrahat dil par mehsoos hoti hai. Is ke sath hi behosh ho jati hai aur behoshi ke aalam mein kabhi do ghantay guzar jatay hain, kabhi teen din mein aik do baar takleef hoti hai. Baqi waqt bilkul theek rehti hai. Behoshi ke douran daant aapas mein mil jatay hain aur laakh koshish ke bawajood mun nahi khilta. Agar kisi tareeqa se mun mein pani waghera dala bhi jaye to halaq se neechay nahi utartaa. Kaafi ilaaj mualja kara chuka hon lekin koi faida nahi sun-hwa. Teen saal pehlay bhi usay is qisam ke dard hue they. Lekin behosh nahi hoti thi. Is waqt woh aath mah ki haamla thi. Doctoron ne kaha tha ke is ke pehphron mein pani ka assar ho gaya hai aur bacha peda honay ke baad bilkul theek ho gayi thi. Taqreeban teen saal baad phir takleef shuru ho gayi hai. Is martaba bhi woh paanch mah ki haamla hai. Lekin pareshan kin baat yeh hai ke is ki behoshi aur ilaaj se pareshan aur tang aa chuka hon. Kisi ki samajh mein nahi aata ke bemari kya hai? Har dr ki tajweez kardah dawai dosray se mukhtalif hoti hai. Allah taala ne aap ko bohat khoobiyon aur hikmat se nawaza hai. Mujhe koi mukammal aur faida mand ilaaj bta kar ghareeb parwari karen taa ke meri gharelo pareshani khatam ho.


Jawab  : fullscape art paper ( safaid chamakdar kaghaz ) ke oopar siyah chamakdar roshnaye aur motay qalam se

اَلطُّرُقُ النَّاسُ وَ الْاَجِنَّۃُٗ وَ الرُّوحُ اَلْعِبَادِ الصَّالِحِیْنَ فِی الْکَونِ

۹۳ ۹۳ ۹۳ ۹۳ ۳


kisi khush nawees se lkhwa kar frame kar ke is kamrah mein latka den jis kamrah mein aap ki begum soti hain. Un se kahiyeke is naqsh ko iradah baar baar dekhatii rahen. Aisi ghzaon se parhaiz lazim hai jo baadi aur saqeel hain aur jin se gas ki shikayat peda hoti hai. Chiknai kam se kam nah honay ke barabar istemaal ki jaye. Ziyada munasib yeh hai ke rfhan istemaal kya jaye.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI