Topics
Sawal : muraqba mein dekha ke mere
dimagh mein roshniyan bhari hui hain. Aik din dimagh ko halka sa jhatka laga
aur roshni ki ro nikal kar samnay fiza mein gayab ho gayi. Dekha ke mere
maathey par roshiniyon se bani hui aik aankhh hai. Kisi ne kaha ke yeh teesri
aankhh hai. Sonay ke liye leyta to dekha ke meri nigehain deewar ke peechay
dekh rahi hain. Mujhe drawing room mein rakhi hui maiz dikhayi di lekin aglay
hi lamhay manzar nigahon se oojhal ho gaya. Aap se darkhwast yeh hai ke un
kaifiyat ki roshni mein rahnumai se nawaziye aur yeh bhi bataiye
ke yeh kefiyat khayaali thi ya waqai is ka koi wujood hai.
Jawab : Allah taala ne quran pak
mein farmaya hai ke hum ne aasman ko bruj se zeenat bakhsh aur chhupa liya usay
har shetan mardood se, rohaniyat mein bruj ka matlab woh abadiyaan hain jo
sayyaron aur dosray khekashani nizamon mein phaily hui hain. Rohaniyat hamein
rahnumai faraham karti hai ke hum kis terhan Allah taala ki peda kardah un
makhloqaat se muta-arif hon. Un ki tarz rahaish aur maeeshat ko dekhen aur is
terhan khaaliq kaayenaat ki snaay o hikmat ko samajhney ki koshish karen. Jab koi
shakhs la shaori waardaat o kaifiyat mein daakhil hota hai to jahan is par be
shumaar baton ka inkishaaf hota hai un mein se aik aasmani aabadyon ka
mushahida bhi hai. Jaisay jaisay aadmi apni salahiyaton se waaqif hota rehta
hai ya is ki salahiyaton mein izafah hota rehta hai woh aur ziyada wazahat aur
geherai se un baton ko samajhney lagta hai.