Topics
Sawal : janab aliiiii! Aap ne jo
wazifa mujhe tehreer farmaya tha o hay meri naaqis aqal mein nahi aa raha hai
ke kisi terhan parhon, mujhe aap ko dobarah takleef dena par rahi hai. Aap ne
tehreer farmaya tha ke har namaz ke baad aik tasbeeh duroood shareef ke sath 66martaba
“Allah” ka vird kar ke dua karen. Is mein aik tasbeeh se kitni martaba morad
hai. Kya so martaba ya is se kam ya ziyada. Doosri baat yeh hai ke duroood
shareef ke sath 66 martaba “Allah” ka vird kis terhan kya jaye yani aik martaba
duroood shareef parhnay ke baad 66martaba vird phir aik martaba duroood shareef aur phir
66bar vird ki gardaan
karen ya duroood shareef ki tasbeeh ( muqarara miqdaar ) parh kar aakhir mein
66martaba Allah ka vird kar ke dua
mangeen. Hum jo namaz mein duroood shareef parhte hain wohi duroood shareef
parheen ya koi aur makhsoos duroood shareef parhna ho ga. “shadi mein rukawat”ka
yeh wazifa jo ke larka larki ya phir walidain ke parhnay ke liye hai. Kya mein
apni nand ke liye wazifa parh sakti hon kyunkay meri paanch nandein hain jin
mein se sirf aik ka nikah hua baqi sab ki umrein ziyada ho gayi hain.
Jawab : aap apni nand ke liye
wazifa parh sakti hain “Allah” 66martaba is terhan parheen ke har baar Allah ke sath
duroood shareef parheen. Yani duroood shareef bhi 66martaba parha jaye. 66bar Allah ka vird karne ke baad
mazeed 24 martaba duroood shareef parh kar dua mangi jaye. Namaz wala duroood
shareef parha ja sakta hai.