Topics
Sawal : mere kaanon mein kuch arsa
se seetiyan si bajne lagi hain. Agar mein apne dono kaan band kar lon to bhi
dimagh mein seetiyan bajti hain. Kabhi kabhi to mukhtalif aawazian bolnay ki ya
TV ki kaanon mein itni taizi se anay lagti hain, lagta hai kaan ke parday phaar
den gi. Har waqt kaanon mein saaien saaien hota rehta hai. Barah karam mere is
marz ko daur karne ke liye Rohani ilaaj bitayen.
Jawab :
بسم اللّٰہ الرحمن الرحیم
یَامَھْلَاءِیْلُ
یَاثَمْتَاءِیْلُ یَامِیْکَاءِیْلُ یَاجِبْرَاءِیْلُ
likh kar saaf shuda roi mein lapait kar do batian bana len. Aik batii
subah Sadiq ke waqt aur aik batii raat ko sonay se pehlay matti ke chairag
mein Zaitoon ka tail ( olive oil ) daal kar is mein dalain aur jala den. Jab taq
chairag jalta hai, chairag ke paas laitee ya baithi rahen. Poora ilaaj 40 roz
ka hai.