Topics
Sawal : mein choti si thi, honton
ke oopar paseena aa raha tha. Jis ko mein ne istemaal shuda blade se saaf kar
diya. Is ke baad honton ke oopar kala nishaan ban gaya. Plzzzz koi aisi tarkeeb
bataiye jis se yeh daagh khatam ho jaye. Honton ke oopar yeh daagh bohat bura
lagta hai.
Dosra masla yeh hai ke pehlay mera rang sanwla tha ab kala hota ja raha hai. Koi
ilaaj bataiye jis se mera rang saaf ho jaye.
Jawab : aik saib ki paanch
qaashein kar ke cheeni ki tashtari mein raat ko khulay aasman ke neechay rakh den
aur bareek chhalni se dhaanp den. Subah mun saaf kar ke saib ki qaashein kha
kar oopar se doodh pi len. Hont ke oopar daagh ki jagah surkh shu-aon ka tail
din mein aik baar aur raat ko sotay waqt maalish karen tail tayyar karne ki
tarkeeb yeh hai.
Khalis alsi ka tail, safaid rang ki pakkay sheeshay ki bottle mein daal kar
bottle ko surkh rang celophine paper aur kaghaz jo agar batii aur tail ki
bottlon par khoubsurti ke liye chipkaya jata hai, lapait len. Mazboot clark
laga kar lakri ke oopar dhoop mein aisi jagah rakh den. Jahan sara din dhoop
rehti hai. Chalees din taq is bottle ko dhoop mein rakha rehne den. Chalees roz
mein tail tayyar ho jata hai.