Topics
Sawal : mein Hafiz quran hon. Kabhi
kabhi raat ko aisa hota hai ke koi cheez daba layte hai. Mehsoos hota hai ke
mein jaag raha hon magar is cheez ke difaa ki qowat bilkul slb ho jati hai aur
is douran yun hota hai ke mein apna haath mun mein daal kar ungli ko danoton se
چباتا hon to yun lagta hai ke jaisay mere haath
mein khoon nahi aur kabhi is douran rota hon, aawaz nahi nikalti, khofnaak
aawazian nikalti hain. Agar koi aawaz day to jaldi chhutkara ho jata hai
wagerna mere andazay ke mutabiq kam az kam paanch minute taq is azaab mein
mubtala rehta hon. Raat sotay waqt 6 kalme, surah Fatiha , surah baqra ki
ibtidayi ayaat, aayat al kursi taa khatam ruku aur surah baqra ki aakhri ayaat
parh kar sona hamaray saaray ghar walon ka mamool hai balkay hamaray khandan ke
bachay ko sab se pehlay yaad karaya jata hai aur bachay bhi parhte hain. Haan agar
maloomat ke sath surah jin parh liya karen to bilkul theek rehta hon agar kisi din
parhna bhool jaye aur jaldi neend aa jaye to is dabao ka hona laazmi amar hai. Is
dabao ke baad surah jin parh kar sota hon yani surah jin laziman parhna padti
hai. Jawab irshad farmaen.
Jawab : surah jin parhnay se jab
aap theek rehtay hain to surah jin parh liya karen, pareshan honay ki kya baat
hai.