Topics
Sawal : mera manjhla beta jis ki
Umar taqreeban baaes saal hai kuch arsa pehlay taq bara naik tha aur
farmanbardar tha. Sab ke liye is ke dil mein mohabbat thi. Magar ab buray
larkoon ki sohbat ne usay bhi kharab kar diya hai, kisi ka kehna nahi maanta,
yahan taq ke maa baap ke samjhane bujhanay se bhi is par kuch assar nahi hota. Narmi
se sakhti se har terhan samgha ke dekh liya magar woh wohi karta hai jo chahta
hai. Buray larkoon ki dosti ne is ko manshiat ki aadat mein mubtala kar diya
hai. Ziyada mana karne aur samjhane se gussa ho jata hai. Cheekhnay chalanay
lagta hai. Mrjane ki dhamki deta hai. Apne aap ko kosnay lagta hai. Pehlay is
ki sahet achi thi magar ab kaafi gir yi hai. Do aik baar heroen peetay rangay
hathon barray bhai ne pakra to kehnay laga mein aadi nahi hon. Bas yuhin dost
ne pila di. Do chaar kash kabhi kabhar shoq mein laga laita hon. Is ke baad is
ko nasha ke mohlik asraat betaye aur buray doston ki buri sohbat ke nataij se
aagah kiya. Har terhan samjhaya. Narmi se bhi, pyar se bhi, sakhti se bhi aur
daant dapat kar ke bhi gharz yeh ke jo bhi tareeqa samajh mein aaya. Isi terhan
samjhaya magar woh kisi terhan nahi maanta. Ab to kaam kaaj mein bhi pehlay
jaisi dilchaspi nahi laita. Dard mandana guzarish hai ke aap koi aisa Rohani
ilaaj bitayen ke jis ki barket se mera beta naik rastay par wapas aa jaye aur
pehlay ki terhan is ke dil mein ghar ke afraad ke liye pyar o mohabbat peda ho
jaye. Tamam buri adateen chore day aur mein jis aziat naak pareshani mein
mubtala hon. Is se mujhe sukoon naseeb ho.
Jawab : raat ko jab aap ka beta
gehri neend so jaye, 19 martaba surah لہب
poori parh kar betay ka tasawwur kar ke dam diya karen. Chalees roz taq is ke
sath sath nasha chhuranay ke hospital mein ilaaj karayen aur hospital se farigh
honay ke baad kisi dosray shehar le jayen taakay doston ki sohbat se kam az kam
teen mah taq bacha rahay. Hospital mein douran ilaaj is ke paas 24 ghantay ghar
ka koi aadmi sath sath rahay. Hota yeh hai ke dost mizaaj pursi ke bahanay
wahan aa kar nasha aawar cheez day jatay hain aur ilaaj poora nahi hota. No inch
baara inch pakkay safaid sheeshay ke oopar neela rang paint kara ke, betay ko
baar baar deikhein.