Topics
Sawal : umeed hai ke apni gham
zada behan samajh kar meri madad farmaen ge. Aap mujh jaisay hazaron be sahara
logon ke dukh banttay hain. Meri bhi madad karen. Meri kahani yun hai ke meri
shadi ko paanch saal ho gaye hain magar aik din sukoon nahi mila hai. Shadi ke
teen mah taq mere shohar theek rahay is ke baad ulti seedhi baatein karne
lagey. Maa baap ko gaaliyan dete. Dewaron ke sath baatein karte phir un ke
waalid ne un ko London bhaij diya. Saat mah baad bachi peda hui to phir un par
dora para ke quran pak ghrse utha kar masjid ki deewar par rakh diye. Ghilaaf utaar
pheink diya. Jaye namaz, tasbeeh jungle mein pheink aeye. Pardon ke kapray aur
islami kitabon ko aag laga di. Din ke waalid ne un ko dobarah London bhaij diya
hai. Mera koi aasra nahi hai. Aik walida theen woh Allah ko pyari ho gayeen. Ab
meri bachi bhi chay mah ki ho gayi hai.
Jawab : aap ke shohar dimaghi
mareez hain un ka baqaida ilaaj hona chahiye. Mehez dam duroood se ilaaj par
takiya nah karen. Hospital mein daakhil kara ke ilaaj karayen. Aap ke shohar
Bartanwi shehriat rakhtay hain. Un ka wahan behtareen ilaaj ho sakta hai. Is ke
bajaye ke aap inhen yahan bulayen. Koshish kar ke aap wahan chali jayen aur
wahan reh kar un ka poora ilaaj karayen. Sahet yabi ke liye har namaz ke baad aik so aik baar ya allah ya Rehman
ya Raheem parh kar dua kya karen.