Topics
Sawal : Aap ne Rohani daak ke zariye bohat se mayoos
logon ki madad farmai hai, umeed hai ke aap mera bhi masla hal farmaen ge. Samajh
mein nahi aata ke kis terhan bayan karoon ke mujhe apne is aib ki wajah se kis
qader mazaq ka nishana ban-na parta hai aur mein ehsas kamtri mein mubtala
rehti hon. Pata nahi aap meri madad karen ge ya nahi. Mera baen taraf wala hont
baat karte waqt ya hanstay waqt terha sa ho jata hai ya thora sa khham aa jata
hai. Jabkay baen taraf walay jabray mein aksar o beshtar dard rehta hai. Aur baaz
auqaat itna shadeed dard hota hai ke ronay lag jati hon. Khamosh baithi rahon
to nuqs ka pata nahi chalta.