Topics
Zaman o Makan ki Tashreeh Lazamani Zaviya se zaman o
makan do cheezein nahin hain. Roshni se milne wali itlaat ko jo satah hamarey
samney hay. Hum es ko makan ke naam se mosoom karte hain aur jo satah nazar se
ojhal hay es ko zaman ka naam dete hain. Filwaqey yeh dono satah mil kar ek
unit hain. Shaoor ki opri satah mein yeh salahiyet nahin hai ke wo bayk waqt la
shumar cheezon ko dhek sakey, sun sakey aru samajh sakey. Yeh yake bad deegrey
ek ek cheez ko dhekti, sunti aur samajhti hai. Hawa ski es tarteeb mein jo
merhaley partey hain in ko waqfa, aan, lamha waghera mutnawa alfaz se yad kiya
jata hai. Yeh hain zaman ke ajza jab en ajza ko nigha dhekti hai, kaan suntey
hain, zehan samajhta hai tu makani takhleeq amal mien aati hai.
Agarchey Kainat ki banawat bohat zyada
paicheeda nahin magar fikr insani es banawat ko na manoos hone ki waja se
paicheeda samajhti hai. Baat bohar saada hay. Es ka kehna aur samjhna bilkul
aasan hay. Latanahiyet ka ek Aalam hay. Yeh Aalam mawaraye Kainat ko muheet
hay. Tamam kehkashani nizamon ko es Aalam se adarak taqseem hota hay. Yeh
Idraak lashumar lamhat se guzarta hay. Yehi lamhat kehkashani nizamon ki shakl
o soorat ikhtiyar kar lete hain. Kisi johar ke chootey chootey se ajza aur ksii
kur’ra ke barey se barey jism ka zahoor ek hi lamha mein hota hay. Es baat ko
ek aur tarha bhi keh saktey hain ke Kainat ke Idraak mein harkat hoti hay. Khud
latanahiyet mein harkat nahin hoti. Yeh harkat eik unit, ek haste ya Iraada e
Ilahiya hay aru do satah per mushtamil hay. Ek zaman, doosray makan. Yeh dono
tawaam hain aur ek doosray ka isbaat kartey hain. Quran Pak mein Allah Taala ne
Zaman ko Amr aur Makan ko Khalq farmaya hay.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi