Topics
Ab hum
tanazalaat ka tazkirah kartey hain ta ke es nisbat ki haqeeqat waaze ho jaaye.
J’alli tanzalaat teen hain. In tanzalaat mein har j’alli tanazul ke sath aik Khaffi
tanazul bhi hey. Har j’alli aur Khaffi tanazul ke saah aik warood ya aik
shahood ka ta’luq hey. Pehla j’alli tanazul sir e akbar hey, dusra j’alli tanazul
rooh-e-akbar hey aur teesra j’alli tanazul shaks-e-akbar hey. Shaks-e-akbar es mazhar
ka naam hey jis ko Kainat kehtey hain. Es hi Kainat ko maadi aankh dekhti hey
aur pehchanti hey. Kainat ki saakht mein bisaat awal wo roshni hey jis ko Quran
Pak ney maa (paani) ke naam sey yaad kiya hey.
Mojoodah
daur ki science mein esey geso’n (Gases) ke naam sey ta’beer kiya jata hey. In
hi sad ha geso’n ke ijtimaa sey awalan jo murakab bana hey es ko paarah ya paarey
ki mukhtalif shakalein bator mazhar pesh karti hain. In hi murakbaat ki bohat
si tarkeebo’n sey maadi ajsaam saakht amal mein aati hey aur in hi maadi ajsaam
ko mowaleed salasah yani hewanaat, nabataat aur jamadaat kehtey hain. Tasawuf ki
zubaan mein in geso’n mein sey har gas ki ibtidaai shakal ka naam Nasma hey.
Dusrey alfaz mein Nasma harkat ki in buniyaadi shuaa’on ke majmuaa ka naam hey
jo wajood ki ibtidaa karti hey.
Harkat es jagah in lakeeron ko kaha gaya hey
jo khalaa mein es tarah pheli hoyee hain ke na tu wo aik dusrey sey fasla par
hain na aik dusrey mein pewast hain. Yehi lakeerein maadi ajsaam mein aapas ka
waastah hain. In lakeeron ko sirf shahood ki wo aankh dekh sakti hey jo Rooh ki
nigah kehlati hey. Koi bhi maadi khordbeen es ko kisi shakal-o-surat mein nahin
dekh sakti. Albatah in lakeeron ke tasuraat ko maadiyat mazhar ki surat mein paa
sakti hey. In hi lakeeron ko ahl-e-shahood ki tehqeeq mein tamsul ki namood
kaha jata hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi