Topics

ILM AL YAQEEN, AIN AL YAQEEN, HAQ AL YAQEEN

 

Quran. قُلِ الرُّوحُ مِنْ أَمْرِ رَبِّي. Rooh ko Amr Rabb kaha gaya hai. Chunancha yeh bhi Aalam Amr hey lekin yeh Aalam Amr es Aalam Amr se allag hey jo" Ku’n" ki zair assar zahoor mein aaya. Agrdonon Aalam Amr aik hi hotay tu Allah Taala yeh hargiz nah farmatay ki mein ney Adam ki putlaay mein apni Rooh phonki. Un alfaz se yeh zahir ho jata hey ki number2 “Amr Aam" hey aur number 3 “Amr e Khas” hai. Yahan se Ilm aur zahoorat ki do Muratib ho jatay hain jis ko Quran Pak mein Ilm looh aur Ilm alqalam yani looh o qalam se tabeer kya gaya hai. Tarteeb es terhan hoyee :

Number 1. Zaat baari Taala

Number 2. Aalam Amr khas, tajalli zaat, (wajib al-wajood)

Number 3. Aalam Amar, Amr Aam ya tajalli sifaat

 

En teen Muratib ki baad choutha martaba Aalam Khalq ka hai.

Pehlay Latayef e sita ka zikar aa chuka hai. Zaat baari Taala ko mustasna kar ke baqi teen Muratib chay rukhon par mushtamil hain. awal Aalam Amr khaas ya tajalli zaat ya wajib al-wajood ka rukh zaat ki taraf hai. Dosra rukh Aalam Amr khaas ka Aalam Amr Aam ki taraf. Yeh do latayef hue. Pehlay rukh ka naam Akhfa’a aur dosray rukh ka naam Khaffi hai. Aalam Amr Aam ka pehla rukh Aalam Amr khaas ki taraf aur dosra rukh Aalam Khalq ki taraf. Es ka pehla rukh sri aur dosra rukh Rohi hai.

Aalam Khalq (Aalam Nasoot) ka pehla rukh Aalam Amr Aam ki taraf aur dosra rukh Kainat (madiyat) ki taraf hai. Es ka pehla rukh qalb hai, dosra rukh nafs hai.

Hum es ki misaal aik chadar se dey sakte hain jo noor ke taron se bani hoyee hai. Yeh noor ke taar jis khala mein qayam hain es khala ka naam Aalam Amr khaas hai. Es chadar mein noor ke taar bator" tane" ke istemaal hue hain woh Aalam Amr Aam hain. Phir es chadar mein jo taar bator" banay" ke istemaal hue hain woh Aalam Nasma kehlate hain. Un tenun aalmon ke ooper mehsosaat ka aik khoal hey jis ko jism kehte hain. Tasawuf mein Aalam Nasma ki Maarfat ko Ilm al-yaqeen kaha gaya hai. Aalam Amr Aam ki Maarfat ko Ain al-yaqeen kaha gaya hey aur Aalam Amr khaas ki Maarfat ko haq al-yaqeen kaha gaya hai. Yahi woh martaba hey jo zaat baari Taala ki Maarfat hai. Baqi Muratib sifaat ki Maarfat hain.

Ensaan ka jism aik khoal hai. Es khoal ke do rukh hain. Jism aur dimagh. Dimagh ka rukh Aalam Amr Aam ki taraf hai. Isi ko Nasma kehte hain. Lekin yeh dimagh ya jism insan nahi hai. insan un dono ki andar basta hey jis ko tajalli zaat ka aik nuqta kehna chahiye. Yeh nuqta jo zaat insani hai, es noor ki chadar ka aik zarra hai. Yeh zarra aik khoal rakhta hey jis ko jism kehte hain. Yahi Mazhar hai. 

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi