Topics
Tajreed ya pehli Makaniyat Noor
hey. Tashheed ya doosri Makaniyat Nasma Mafrad hey. Yeh hi Nasma Mafrad
Kainati shuaa ya kasmik rays (Cosmic Rays) kehlata hey. Nasma Murakab ya
Tazheer yaani teesri Makaniyat, Kainati shuaon kay alawa jitni roshniyan hen
sub per mushtamil hen. Tazheer ki shuaon kay hajoom hi say Kainat kay tamam jism
bantey hen. Tazheer ki roshniyan ek tarhan ka rangeen aaeenah hen.
Darasal charon bawad char aaeenay
hen. Pehla ghair mutaharik aur ghair mutaghayur aaeenh Nazar ya La Makan
hey. Doosra mutaharik ya mutaghayur aaeenh Nazara hey. Teesra mutaharik
aaeenh Nazir hey aur chotha mutaharik aaeenh Manzoor hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi