Topics
Har insan
juzve latujza hey aur fi-nafsehi ehsaas ki hesiyat rakhta hey. Es ko jab hum harkat
ka naam dena chahein tu nigah kahein gey.
Aadmi deed
ast baqi post ast
Deed Aa’n
bashad ke deed dost ast
(Roomi)
Is shair
mein molana room ney insan ka tazkirah kiya hey jo wehdat mein ba’manzilah
ehsaas hey aur kasrat mein ba’manzilah nigah hey.
Misaal:
Hum aik
qad Adam aainah ke samney kharey hotey hain aur apna aks dekhtey hain. Es wqat
kehtey hain ke hum aainah mein apni surat dekh rahey hain. Darasal yeh
tarz-e-kalaam bil’waastah hey, barah e rast nahin. Jab hum es hi baat ko barah
e rast kehna chahein gey tu kahein gey aainah hamein dekh raha hey ya hum es cheez
ko dekh rahey hain jis cheez ko aainah dekh raha hey, yani hum aainah ke dekhney
ko dekh rahey hain.
Yeh
hoyee barah e rast tarz-e-kalaam. Es ki tashreeh yeh ke jab hum kisi cheez ko
dekhtey hain tu pehley hamarey zehan mein es ka tasawur hota hey. Dusrey darjah
mein hum es cheez ko apni aankh ki nigah sey dekhtey hain. Agar hum ney es cheez
ke baarey mein kabhi koi khayaal nahin kiya ya kabhi nahin socha hey ya hamein
kabhi es cheez ka Ilm haasil nahin hua tu hum es cheez ko nahin dekh saktey.
Misaal:
Kisi shakhs
ka aik haath faalij’zadah aur khushkh ho chukka hey. Hum es ke haath mein nishtar
chabho kar sawaal kartey hain. “ batao! Tumharey faalij’zadah hath ke sath kiya
salook kiya gaya?”
To wo jawaab
deta hey. “ mujhey maloom nahin.”
Is ney
nafi mein jawaab kiyun diya?
Is liye
ke ke nishtar ki chubhan es ney mehsoos nahin ki. Yani issey nishtar chuboney
ka Ilm nahin hua jo ehsaas ka pehla darjah hota hey. Wo es haalat mein nishtar
chabhoney ka amal dekh sakta tha agar es ki ankhein khuli hoteen. Yehan es ki nigah es ke zehan
ko nishtar chabhoney ka Ilm dey sakti thi. Choonachey har haal mein yehi Ilm nigah
ka pehla darjah hota hey.
Insan ko
sab sey pehley kisi cheez ka Ilm haasil hota hey. Yeh ehsaas ka pehla darjah
hey phir es cheez ko dekhta hey, yeh ehsaas ka dusra darjah hey. Phir es ko
sunta hey, yeh ehsaas ka teesra darjah hey. Phir wo es cheez ko soonghta hey
yeh ehsaas ka chotha darjah hey. Phir wo es ko chhoota hey yeh ehsaas ka
paanchwa’n darjah hota hey. Fil-waqea ehsaas ka sahi naam nigah hey aur es ke paanch
darjey hain. Pehley darjey mein es ka naam khayaal hey. Dusrey darjey mein es ka
naam nigah hey. Teesrey darjey mein es ka naam samaat hey, chothay darjey mein es
ka naam saamah hey aur paanchwen darjah mein es ka naam lams hey.
Her
darjah Ilm ki aik izaafi shakal hey. Khayaal apney darjey mein ibtdaayi Ilm tha.
Nigah apney darjey mein aik izaafi Ilm ho gayi. Samaat apney darjey mein aik
tafseeli Ilm ban gayi aur Shamah apney darjey mein aik tausyee Ilm ho gaya.
Aakhir mein lams apney darjey mein aik mehsoosaati Ilm ban gaya. Awaliyat sirf
Ilm ko haasil hey jo dar asal nigah hey. Her hiss es hi ki darjah bandi hey.
Hum nigah ka mafhoom puri tarah waze kar chukey hain.
Ab es ke zaawiyey aur haqeeqat bayan karen gey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi