Topics
Nigah ki doosri satah infradi hey.
Es satah say zaat (nafs) jo kuch dekhtee hey wo Kainat kay doosray afrad say
makhfee hota hey. Pehli nigah wehdat hey aur doosri kasrat. Yeh kasrat darasal
wehdat hi ki ek nigha hey. Ya wehdatِ nigha kay lashmar zaviyeh hen jin ko infradi
nigha kehtey hen. Hum es mafhom ki wazahat es tarhan ker saktey hen ke wehdat
nigha apni her shan ko alag alag dekhtee hey. Alag alag dekhnay say afrad ya
kasrat ki takhleeq hoti hey. Hadees qudsee کُنْتُ کَنْزاً
مَخْفِیاً mein es hi taraf ishara hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi