Topics

Royat kay Hawas


Royat kay hawaas ka sub say ahem kirdar yeh hey ke wo fard kay ander mehdood rehtey hen. Yeh hawaas doosray afrad kay aasar o ahwal malom nahin ker sktay. Hawaas ko Allah Taala nay Quran Pak mein Illeen aur Sijjeen do kirdaron mein bayan farmaya hey. Illeen aala kirdar hey aur Sijjeen asfal. Hawaas mein yeh dono kirdar record hotay rehtey hen. Aalam Nasoot mein in kirdaron ka record nigahon kay samnay nahin rehta balkey hawaas kay ander makhfee rehta hey. Allah Taala nay in dono recordon ko Kitab Almarqoom farmaya hey. Jesay hi insan Aalam Nasoot say munqata hota hay, Royat kay hawaas maghloob ho jatay hen. Sath hi Rooh kay hawaas ka ghalba ho jata hey aur royat kay recordon mein say in taqazon ka record makhfee rehta hey jin ka malkaa peda nahin kiya gaya tha. Qayamat kay din Jab Kainat ka pehla safar tay ho jaeay ga tu insan aur jinnat jo Kainat ka hasil safar hen es leay jama keay jaeen gay ke Kainat kay doosray safar ka aaghaz ho. Es din in taqazon ka record talff ker diya jaeay ga jin ka malkaa peda nahin kiya gaya tha.

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi