Topics

Aalam e Joo

          

Jab Allah Taala ney Kun farmaya tu Sifat e ilahiya Kainat ki shakal-o-surat ban gayin. Yani Allah Taala ki sifaat ke ajza kasrat ka cheherah ban gaye. Yeh cheherah in tammam rooho’n ya ajza ka maj’muaa hey jin ko alag alag makhlooq ki shakal-o-surat haasil hoyee. Takhleeq ki pehli ta’reef yeh hoyee ke ajzaaye latujza yani roohein jin ko Quran mein Amr e Rabbi kaha gaya hey mojoodat ki surat mein numaya’n ho gayin. Es ta’reef ko mad-e-nazar rakh kar hum es rabt ko nahin bhool saktey jo khaaliq aur makhlooq ke darmiyan hey. Es hi rabt ko tasawuf ki zubaan mein “Joo” kaha gaya hey.

“Joo” ki dusri ta’reef yeh hey ke makhlooq har qadam par khaaliq ke rabt ki mohtaaj hey aur khaaliq ki sifaat hi har lamhah “Joo” ko hayaat-e-Nou atta karti hey.

“Joo” ke teesrey marhaley mein aik aisa silsilah samney aata hey jis ko hum pedaaish ka zariyah qaraar detey hain. Tasawuf ki zubaan mein es ka naam rukh awal hey.

“Joo” ka chotha silsilah khud pedaaish ki shakal-o-surat ka naam hey jis ko tasawuf ki zubaan mein rukh-e-saani kahtey hain. Yeh dono’n rukh “Joo” ke Tanavo ka majmuaa hain.

“Joo” ke panchwein silsila mein afrad ka zehan tanzeem ki noiyat ikhtiyaar kar leta hey yani “Joo” ka infiraadi ehsaas aik aik fard ke ehsaas ka idraak kar leta hey. “Joo” نَحْنُ اَقْرَبُ اِلَیْہِ مِنْ حبْلِ الْوَرِیْد ki sharah hey. Kainat mein jo har cheez shaoor ko mehsoos hoti hey ya nazar aati hey ya shaoor es ka idraak karta hey es ka wajood tamsul awal ki shakal mein “Joo” ke andar paaya jata hey. Koi fard jahan bhi hey tamsul awal ka aks hey khuawh wo fard insan ho, jin ho, farishtah ho, nibataat sey ho ya jamadaat sey ya kisi kurreh ki hesiyat rakhta ho.

 Kainat ka har fard “Joo” ke zariye lashaoori tor par aik dusrey ke sath roshnaas aur munsalik hey. Tasawuf ki zubaan mein “Joo” ki tafseelaat “Mugeebaat Akwaan” kehlati hain. Agar kisi fard ko mugeebaat akwaan ka Ilm haasil hey tu wo aik zarrey ki harkat ko dusrey zarrey ki harkat sey mulhiq dekh sakta hey. Bilfaaz deegar “Joo” ka shaoor rakhney wala agar hazaar saal pehley ke ya hazaar saal baad ke waqiaat ka mushaidah karna chahey tu kar sakta hey.

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi