Topics
Hum nazar ko ek tarhan ka Kainati
shaoor keh saktey hen. Yeh jis maqam per jis nuqtah mein bhi jalwa ghair hoti
hey ek hi tarz rakhtee hey. Insan mein jo nazar pani ko pani dekhtee hey wo
nazar her sheay kay ander pani ko pani dekhtee hey. Kabhi aisa nahin hua ke
insan nay pani ko pani dekha ho aur sher nay pani ko dodh dekha ho. Nazar ka
kirdar Kainat kay her zarey aur nuqtah mein ek hey. Jis tarhan hum lohay ko
sakht mehsoos kartey hen es i tarhan chiyunti bhi lohay ko sakht mehsoos karti
he. Es kay maaney yeh hoeay ke loha jis nigha say insan ko dekhta hey es hi
nigha say cheonte ko dekhta hey. Kainat mein phelay hoeay tamam manzar es hi
qanoon kay paband hen. Jab admi chand ki taraf nazar uthata hey tu chand ko es i
shakl o soorat mein dekhta hey jis shakl o soorat mein chakor dekhta hey. Jab
darkht ki jarrein pani hasil kartee hen tu pani samajh ker hasil kartee hen
bilkul es hi tarhan jis tarhan ek janwar pani ko pani samajhta hey. Ek sanp bhi
dodh ko dodh smajh ker peeta hey aur ek bakri bhi dodh samajh ker peeti hey.
Nateejah: Hum in tamam missalon say ek hi nateejah akhaz ker saktey hen ke
tamam Kainat kay her zarey mein ek nazar kam ker rhee hey. Es nazar kay kirdar
mein khen ikhtalaf nahin. Wo her zarey mein ghair mutaghayur hey. Es ka ek
mawayan aur makhsoos kirdar hey. Nazar kay kirdar mein ibtdaye aafrensh say
kabhi koi tabdilee nahin hoyee. Yeh nazar Makaniyat aur Zamaniyat dono ki nafi
kartee hey kiyonke es ki ravish mein na tu waqt kay taghyur say koi taghyur
hota hey aur na waqt ki tabdilee say koi tabdilee. Yeh nazar Azal say Abad tuk
kisi lamhey ya kisi zarey ki gherayee mein ek hi sift rakhtee hey. Yeh hi nazar
wo maqam hey jis ko shaoor ka markazi nuqtah ya Kainat ki haqeeqat keh saktey
hen. Yeh mehaz rang hi say mawara nahin balkey bay rang say bhi mawara hey. Quran
Pak mein Allah Taala nay irshad farmaya hey.
عَلَّمَ الْاِنْسَانَ مَالَمْ یَعْلَمُ
Insan ko Ilm sikhaya wo nahin
janta tha.
Yahan sikhaney ka matlab wadiyat
kerna ya Lashaoor mein pevast kerna hey. Yani jis cheez say Kainat ki Sharrist
aur Jibilat aarri thee Allah Taala nay wo cheez insan ki fitrat mein ba
tuar khas wadiyat ki. Allah Taala nay irshad farmaya hey ke mein nay Adam kay
putley mein rooh phonkee.
فَاِذَا
سَوَّیْتُہٗ وَنَفَخْتُ فِیْہِ مِنْ رُّوْحِیْ فَقَعُوْالَہٗ سٰجِدِیْنِِ(سورۂ ص۔
آیت ۷۲)
Tarjumah: Pus jis waqt ke durust karoon
aur phonkoon es kay beech apni rooh mein say pus gir parro wastey es kay sajdah
kartey hoeay.
Yeh bhi irshad kiya hey ke mein nay Adam ko Ilmul Asma ata kiya.
عَلَّمَ اٰدَمَ الْاَسْمَاءَ کُلَّھَا
Yeh tamam irshadat es matlab ki
wazahat kartey hen ke mojoodat kay ander jo cheez asal hey es ka samjhna aur
janna bajuz insan kay aur kisi kay bus ki bat nahin kiyonke yeh khusosi Ilm
Allah Taala nay sirf Adam ko ata kiya hey. Yeh khusosi Ilm Lashaoor ka Ilm hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi