Topics
Woh pahariyan jo
mahireen arziat ke bakol kharbon saal mein bani theen, aik second ke andar es terhan
fanaa ho gayeen ke es ke assaar taq khatam ho gaye. Es haqeeqat se kon inkaar
kar sakta hai ke aik second ki fanaa ney kharbon saal ki baqa ko apne andar
jazb kar liya. Ya yun kehna chahiye ke aik second ney kharbon saal ka ahata kar
liya. Khrbon saal ka roop woh pahariyan theen aur aik second ka roop un pahariyoon
ka khtama.
Isi terhan siyah nuqta
ke aik second ka kharabwan hissa azal se abadd taq muheet hai. Lekin hum jis
idraak ko istemaal karne ke aadi hain woh second ke kharabveen hissa ka
mushahida nahi kar sakta. Jo idraak second ke kharabveen hissa ka mushahida kar
sakta hai. Es ka tazkara Surah Qadar mein hai.
Tarjumah : Hum naay utaara
Shabe Qadar mein aur tu kya boojha hai Shabe Qadar? Shabe Qadar behtar hai
hazaar mahinay se. Utartay hain farishtay aur Rooh es mein apne Rabb ke hukum
se har kaam par. Amaan hai woh raat subah ke nikalney tak.
Shabe Qadar woh raat
hai jis mein siyah nuqta ke idraak ka nuzool hota hai. Yeh idraak aam shaoor se
sattar hazaar guna ya es se bhi ziyada hai kyunkay aik raat ko aik hazaar
mahinay se sattar hazaar gannay ki munasibat hai. Es idraak se insan kainati
rooh ka, firshton ka aur un umoor ka jo takhleeq ke raaz hain mushahida karta
hai.
Tasawuf mein es idraak
ko fatah ke naam se tabeer karte hain. Fatah mein insan azal se Abad taq
mamlaat ko baydaari ki haalat mein chal phir kar dekhta aur samajhta hai.
Kaayenaat ke baeed tareen fasloon mein ajraam samawi ko bantaa aur umar tabee
ko poanch kar fanaa hotay dekhta hai. Lashumar
kehkashani nizaam es ki
ankhon ke samnay takhleeq patey hain. Aur la hisaab daur Zamani guzaar kar
fanaa hotay nazar atay hain. Fatah ka aik second baaz auqaat azal taa abadd ke
waqfay ka muheet ban jata hai.
Idraak Kya Hai ?
Zaid kehta hai ke mein
ney akhbar parha, mein ney khat likha, mein ney khana khaya. Akhbar kis ney
parha, khat kis ney likha, khana kis ney khaya? Zaid ney. Yeh sab kuch Zaid ney
kya. Magar yeh sab kuch bayan karne wala, samajhney wala Zaid ka zehen hai. Zaid
ney kya kya es ka jan’nay wala sirf Zaid ka zehen hai. Jan’nay ki noiyat ittila
se ziyada kuch nahi hai. Akhbar parhna, khat likhna waghera waghera itla’at
hain. Jab hum un itla’at se qata nazar karte hain tu Zaid kon hai, Zaid ney kya
kiya hai sab be maienay hai haqeeqat itni hai ke Zaid ke zehan ko itla’at
masool huien. Yahan do agenciyan qabil zikar hain. itla’at aur zehan. Ittila
dainay wala bhi zehan hai. Aur itla’at wusool karnay wala bhi.
Aik hi unit hai jis ke
do rukh hain. Zehan kehta hai fanaa honay wali pahariyon ki umar do khaRabb saal
hai. Yeh aik ittila hai. Agar aik saal ko aik unit qarar diya jaye tu do khaRabb
saal ko do khaRabb unit kaha jaye ga. Es ke maienay yeh hue ke idraak ney aik
ehsas ko do khaRabb hisso par taqseem kar diya. Yeh aik ittila hai lekin es ki
tawalat do khaRabb saal ka zamana hai. Jab yeh ittila mili tu suneney walay
zehen ney amlan do khaRabb saal ki tawalat ka ehsas kya. Goya idraak ke aik
second mein do khaRabb saal ka peymana mojood hai. Do khaRabb saal kab guzray,
kis ney guzaray, kis terhan guzray yeh koi nahi bata sakta. Yeh mehez ittila hai.
Aisi ittila jis ke idraak ki tawalat aik second se ziyada nahi. Hamaray Ilm
mein sirf zehen hi aik agency hai jis ko Kainat kehte hain. Hazrat Eisa Alleh
Salam ney farmaya :
''God said light and
there was light”
Allah
Taala ney farmaya roshni aur roshni ho gayi. Quran Pak ke alfaz mein ‘Kun Fa
Yakoon’ ho ja aur ho gaya. Jab hamari nazar kisi kitaab ke alfaz par padtee
hai tu goya roshni padtee hai. Kyunkay hum roshni ke ilawa kisi cheez ko nahi
dekh satke. Jab
hum kitaab parhte hain tu roshni parhte hain aur jo kuch
Samajte hain roshni samajte hain. Kiyunkay jab
hum roshni parheen ge tu roshni samjhain ge. Aur jo kuch hum samajh rahay hain
woh mehez ittila hai. Ab kehna parre ga ke roshni
aur ittila aik hi cheez hai. Daikhna yeh hai ke ittila ka mehal wuqoo kya hai. Agar hum mehal wuqoo
ka pata chala saken tu Zaman o Makaan (time and space) ko samajh len ge. Maahir
falkiyet kehte hain ke hamaray nizaam e shamsi se allag koi nizaam aisa nahi
jis ki roshni hum taq chaar baras se kam arsa mein pahunchti ho. Woh aisay
setarey bhi batatay hain jin ki roshni hum taq aik crore saal mein pahunchti
hai. tu es ke maienay yeh hue ke hum es second mein jis setaray ko dekh rahay
hain woh aik crore saal pehlay ki heyat hai. Yeh tasleem karna parre ga ke
mojooda lamha aik crore saal pehlay ka lamha hai. Yeh ghhor talabb hai ke un
dono lamhon ke darmain jo aik aur bilkul aik hain, aik crore saal ka par
taqseem kar diya hai jis terhan tarz idraak guzashta aik crore saal ko mojooda
lamha ke andar dekhati hai, es hi terhan tarz idraak aindah aik crore saal ko
mojooda lamha ke andar dekh sakti hai. Es terhan yeh tehqeeq ho jata hai ke
azal se Abad tak tamam waqfa faqat ek lamha hai jis ko tarz idraak ne azal se
Abad tak ke marahil par taqseem kar diya hai. Hum es hi taqseem ko makaan
(space) kehte hain. Goya azal se Abad tak ka tamam waqfa makaan hai aur jitne
hawadis kaenaat ne dekhe hain woh sab aik lamha ki taqseem ke andar muqayed
hain. Yeh idraak ka Ejaaz hai jis ne aik lamha ko azal taa Abad ka roop ataa
kar diya hai.
Idraak Kahan Se Aaya ?
Oopar tazkara aa chuka
hai ke woh sirf ittila hai. Yeh ittila kahan se mili hai
?
Allah
Taala farmatay hain ke samaat mein ney di hai, Basarat mein ney di hai. Tu es ka
matlab yeh nikla ke ittila mein ney di hai. Hum aam halaat mein jis qader
itla’at wusool karte hain, un ki nisbat tamam di gayi itla’at ke muqablay mein
kya hain? Shayad sifar se millti julti ho. Wusool honay wali itla’at itni
mehdood hain jin ko na qabil zikar kahin ge. Agar hum wasee tar itla’at haasil
karna chahain tu es ka zareya bajuz Uloom Rohani ke kuch nahi hai aur Uloom
Rohani ke liye hamein Quran Pak se rujoo karna
parrey ga.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi