Topics

ANA YA INSANI ZEHAN KI SAAKHT

 

Jab hum kisi cheez ki taraf dekhtey hain tu tibbi science ki tehqeeq ke mutabiq es cheez sey kharij honey wali roshniyan ankhon ke zariyah dimagh ke malumaati zakheerah tak pohnchti hain. Hum es amal ko dekhna kehtey hain. Dusrey alfaz mein yeh hamara Ilm daakhili hey. Es daakhili Ilm ke kayee ajza hain jisey baasirah ya baasirah ke alawah degar hisson ka naam diya jata hey aur yehi hissein mushahidah ka zariyah banti hain. Yeh mushahidat fikr sey shuru ho kar dekhney, sunney, chakhney, soonghney aur chhooney par mukamal hotey hain. Mushahidat mein kisi jismani harkat ko dakhal nahin hota. Yeh sirf ana ki tehreekat hain. Mushahidat mein maadi aaza moa’tal rehtey hain. Fil’waqe zindagi “Ana” ki tehreekat ka naam hey. “Ana” ke hi jism ko “Rooh Misaali” kaha jata hey. Yehi jism khuab mein chalta phirta aur sarey kaam karta hey. Yeh “jism ana” khaki jism ke sath harkat karta hey aur bagher khaki jism ke bhi.

Amaal ki do qismein hain:

Aik qism in amaal ki jo bagher khaki jism ke anjam patey hain jaisey khuab ke amaal. Dusri qism ke amaal wo hain jo hum beydaari mein khaki jism ke sath anjam detey hain. In amaal ki ibtida bhi zehani tehreekat sey hoti hey. Bagher zehan ki rehnumaai ke khaki jism halki sey halki junbush nahin kar sakta. Goya daakhili tehreekat hi zindagi ke asal amaal hain.

Ab hum “Ana” ki fa’aliyat ka tajziyah kartey hain.

Zaid ney Mehmood ko dekha. Zaid aik “Ana” hey. Wo sirf apni ana ki had mein dekh sakta hey. Wo apni ana ki had sey baahir qadam nahin rakh sakta. Goya es ney Mehmood ko apni had wajood mein dekha hey. Mushahidat ki zubaan mein yun kaha jaye ga ke Zaid ki ana ney khud ko Mehmood ban kar dekha hey kiyun ke Zaid Mehmood ki had mein aur Mehmood, Zaid ki had mein qadam nahin rakh sakta. Agar Zaid Mehmood ki had mein qadam rakh sakta es ka naam Zaid nahin rehta balkeh Mehmood ban jata aur es ki apni ana talaf ho jaati. Dekhney ka amal jin hadood mein waqe hua wo hadein faqat Zaid ki ana sey wabastah hain. Dar’asal her ana mein Kainat ki tamaam anaayein mojood hain aur her ana aik judaganah fard ki hesiyat bhi rakhti hey.

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi