Topics
Yeh Ilm Ilm Huzoori aur Ilm Husooli
dono ki hadein qayam kerta hey. Aur dono ko ek doosray say mutarif krata hey.
Yeh in haqaeq per mabni hey jo Ilm Husooli ki gherayeeon mein talash keay ja
saktey hen. Es Ilm kay khdokhal ayat Illahi say bantey hen. Ayat Illahi say
murad wo nishaniyan hen jin ki taraf Allah Taala nay bar bar Quran Pak mein
tawajoh dilayee hey. Darasal tamam tabayee qawaneen roohani qawaneen ka itbaa
kartey hen. Tabayee qawaneen say roohani qawaneen ka suragh lagana aur in ki
haqeeqat tak pohanch ker Ilm Huzoori say roshnas hona Ilm ldne ka shuaar hey.
Jab yeh Ilm Ambiya ko hasil hota hey tu Ilm Nabawat kehlata hey aur jab yeh hi
Ilm Auliya Allah ko hasil hota hey tu Ilm Ladduni kay naam say tabeer kiya jata
hey. Wahee Ambiya kay leay makhsoos hey aur ilhum Auliya ke leay.
Yeh Ilm Ambiya ya Auliya ko kis
tarhan hasil hota hay? Es cheez ko zail ki satoor mein ajmalan bayan kiya gaya
hey kiyonke tafseel ki es kitab mein gunjayesh nahin. Agar Allah Taala ka hukm
hua tu kisi doosri kitab mein es ki tafseel bayan ki ja sakey gi.
Kainat ki sakht char bawad ya char
daeron per mushtamil hey. Guzishta safhat mein in ki taraf ishara kiya gaya hey
lekin whan in kay ausaf sirf ek zaviya per tazkirah mein aaye hen. In daeron ka
doosra zaviya Tassawuf ki istalah mein alag alag char naam raktha hey.
1. Rah 2. Rooh 3. Roya 4. Royet
Es zaviya kay yeh char ausaf
Lashaoor say taluq rakthey hen. Rah manfi Lashaoor hey aur rooh masbat Lashaoor.
Es hi tarhan Roya manfi shaoor hey aur royat masbat Shaoor.
Rah yani manfi Lashaoor mein koi
taghyur nahin hota. Wahan La Makan aur makan yani Zaman aur Makan dono faslay
madoom hen. Azal say Abad tak ki tamam wardat ek hi nuqtah mein payee jati hen.
Jab yeh nuqtah harkat mein aata hey tu es ka naam badal jata hey. Pheley yeh
nuqtah Rah kehlata tha lekin harkat peda honey kay bad yeh hi nuqtah Rooh
kehlata hey. Es nuqtah mein harkat ki numood hi Zaman aur Makan faslay peda
kartee hey.
Phelay safhat mein Kainati nazar
ka bayan hua hey. Yeh hi Kainati nazar, Rah hey. Yeh hi nazar Zamani aur
Makani faslon mein taqseem honey kay bad haqeeqat wardha ya Rooh
kehlatee hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi