Topics
Allah Taala ka arsh
par mutamakin hona aur rag e jaan se qareeb hona. .. Dono arshadat mein
mushtarik mafhem talash karna parre ga. Filwaqea yeh idraak hi ke do andazay
hain. Pahnai mein idraak karna tu insani tasawur ko latanahiyet
ke bo’ad mein le jata hai. Es hi bo’ad ko Allah Taala ney Arsh farmaya hai. Geherai
mein idraak karna insani shaoor ke qurb mein pohanchata hai. Es ko Allah Taala
ney rag e jaan se AqRabb farmaya hai. Yahan yeh baat nazar andaaz nahi ki ja
sakti ke latanahiyet ka bo’ad aur latanahiyet ka qurb hum maienay aur muradif
mafhoom peda karte hain. Yeh dono maqamat darasal aik hain. Sirf idraak ke andazay allag allag
hain. Idraak aik taraf pahnai mein safar kar ke arsh taq pohanchata hai, doosri
taraf geherai ki musaftain tey kar ke rag e jaan ke AqRabb mein jazb ho jata
hai. Dono terhan Allah taq pohanchna hai. Pehla idraak Tasweed aur dosra idraak
Tazheer hai. Ab do idraak Tajreed aur Tasheed baqi rahay. Tajreed Tasweed ka
dosra rukh hai. Har bulandi ki aik pasti hai aur har pasti ki aik bulandi.
Chunancha Tasweed ka pust rukh Tajreed hai aur Tazheer ka buland rukh Tasheed
hai. Yeh dono rukh kaeenat ki un had’on ka tazkara karte hain jo mawaraye kaeenat
se ja millti hain. Es mafhoom ki wazahat un alfaz mein ki gayi hai.
'' Allah bulandiyon
aur pastiyon ka noor hai. Jaisay taaq, es mein Qandil aur Qandil ke andar
chairag rakha ho. Yeh muqaddas tail ka chairag baghair kisi zahiri roshni ke roshan
hai, jis ki roshni noor andar noor har simt se azad hai.”
Jab pahnai talash
karen ge tu Allah Taala ki sifaat noor Dur noor milein gi. Un hi chaar idraak
ke zariye Allah Taala ki Maarfat zaat haasil hoti hai. Siyah nuqta ka tazkara
aa chuka hai. Es hi nuqta se charon idraak ka sarchashma ubalta hai. Es maqam
par yeh sawal ho sakta hai ke aakhir idraak hai kya? Idraak Zaman hai. Yahi
idraak second ki kam se kam kasar hai. Hum samajhney ke liye kharabwan hissa ke
satke hain ya es se bhi koi chhota hissa jo hamaray khayaal mein aa sakta ho.
Doosri taraf taweel se taweel waqfa jisay nou insani ki zehni parwaaz shumar kar
sakte ho. Yeh dono idraak hain aur siya nuqta ki sifat hain. Chhotey se Chhotey
aur barey se barey waqfon ki mushahidati missal Hiroshima aur Nagasaki per atom
bomb ka hadsa hai.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi