Topics
Shey ka mushahida hi
shye ki fehum ka baayes bantaa hai. Shye pehlay insan ke mushahiday mein
daakhil hoti hai. Phir fehum yani shaoor mein baryabi paati hai lekin yeh
aakhri manzil nahi hai, Aakhri manzil Lashaoor ya Wraye Shaoor hai jahan shye
apni haqeeqat mein paivest ho jati hai. Yeh satah Shaoor ki
gherayee mein waqey hai. Guzishta safhaat mein hum ne es sataah ko be rang ya
Khaffi kaha hey. Yeh satah Shaoor se neechey aur Waraye Be Rang se oper waqey
hai.
Jab hum kisi cheez ka naam lete hain tu wo
sun’ney waley zehan(Rooh) mein warid hoti hai. Maslan jab Sooraj kaha
jata hai tu sun’ney wala apne dakhil mein Sooraj ko mehsoos kart ahi jo Sooraj
kharij mein hey es se dakhli Sooraj ka koi ilaqa nahin hey. Yeh Dakhli Sooraj
Zehan ya Rooh ki wardat hai. Tamam duniya mein jitne Sooraj ke barey mein
sochtey ya suntey hain in sub ka nuqta e wardat ek hi Sooraj hey. Yeh ek
haqeeqat hoyee jis mein koi taghayur nahin hota. Goya yeh ek Haqeeqat Sabtaa
hey. Jab hum kisi aisi shey ka naam suntey hain jis ko hum ney kabi nahin dheka
tu bhi wo un dhekhi shey Haqeeqat Sabtaa ki soorat mein zehan ke ander dakhil
hotee hai maslan kisi shaks ney khud ko nahin dheka lekin jab wo khuda ka nam
suntan hai tu es ke dakhil mein ek haqeeqat ke warid honey ka ek hi kayenati
nuqta. Jis ke ander sirf Kainat hi nahin balke wara e Kainat bhi mojood hai.
Yeh hi mehsoos nuqta jahan tak Kainat ka ahata karta hey lafz Jama Ya Ain Ain
Al Yaqeen se tabeer kiya jata hey. Lekin jab es nuqtey mein Waraye Kainat bhi
dakhil ho jata hey tu Haq Al Yaqeen ya Jama Al Jama kehlata hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi