Topics

Haqul Yaqeen


Agar dhekney waley ko yeh Ilm hey ke mein Aaina mein apna aks dhekh raha hoon lekin wo apni aaina ki aur aks ki haqeeqat janta hey tu yeh halat Haqul Yaqeen kehlati hai.

Mazeed Tashreeh:      Rozmara mushahidat mein Roshni Aaina ka qayam maqam hey. Shahid aur Mash’hood ke darmiyan yeh hi Roshni Aaina ka kam deti hey. Hum dhekne ke amal ko char dairon mein taqseem karte hain. Yeh hi char dairey tassawuf ki es talaah mein Char bo’ad kehlate hain. Guzishta safhaat mein in ka tazkira Nehr’ron ke naam se kiya ja chuka hey. Pehley dairey ka naam Tasveed hey. Es hi dairey ko Khala’ey Noor bhi kehte hain. La Makan, Zaman waqt waghera es hi dairey ka naam hain. Yeh hi daira Tajjali Zaat ya Kainat ki bunyaad hey. Es hee ko Quran Pak mein Tad’dalah kaha gaya hai. Huzor Aleh Salato Vaslam ki do hadeeson mein hey:

۔ لِیْ مَعَ اللّٰہِ وَقْتُٗ     1- Waqt mein mera aur Allah ka sath hey                                            

۔ لَا تَبْسُوْءُ الدَّھْرَ اِنَّ الدَّھْرَ ھُوَاللّٰہ2- Waqt ko buran a kaho, Waqt Allah hey.

Yeh hi daira Ghair Mutaghayat hey. Es hee dairey ki hudood Azal ta Abad hain. Allah Taala ka Irshad ‘Kun’ es hi daire ka ahata kiye hoye hey. اللَّهُ نُورُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ mein es hi ka tazkira kiya gaya hey. Yeh hi daira pehla bo’ad hey aur hum apni istalaah mein es ka naam nazar rakh sakte hain. Es ke baad teeno dairey Makan (Space) hain jin ke naam bil tarteeb Tajreed Tash’heed, Tazheer hain.

Bo’ad Number 1.   Nazar

Bo’ad Number 2.   Nazara

Bo’ad Number 3.   Naazir

Bo’ad Number 4.   Manzoor

In charon ke naam Sha’hood, Shahid aur Mash’hood bhi liye jate hain. Nazar ya Sha’hood ya Tasweed ya Zaman (Time) Kainat ki sakht mein asal ya buniyad hey. Es mein kabhi koi taghayur waqey nahin hua, na aainda ho sakta hey. Yeh apni jaga Haqeeqat e Kubra hey. Es Haqeeqate Kubra per teen makaniyaton ki imaarat qayam hey. Yeh hi Haqeeqate Kubra in teeno makaniyaton ki haqeeqat hey. Yeh Haqeeqate Kubra La Makan hey. Es ke bad pehli makaniyat jo Tajreed kehlati hey, Mushahida ya Nazara ki noyiyat rakhti hey. Teesri makaniyat Tazheer, Mash’hood ya Manzoor kehlati hey. Yeh makaniyat Roshni ka behre zakahr hey.

 

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi