Topics

Allah Taala ki Aawaz


 

 Quran Pak mein ek jagah tazkirah hey. Hm nay maryam per wahee ke. Zahir hey ke Hazrat Maryam rasool ya Nabi nahin then. Es maqam say awaam ko Alq’aa ya wahee karney ka pata chlata hey jis say Allah Taala ki de hoyee Sama’at aur Basarat ki wazahat ho jati hey. Aam halat mein her insan ko yeh kaifyet hasil hey. Insan es kaifyet ko apni zuban mein Zameer kay naam say phechanta hey. Wo Zameer ki aawaz sunta hey aur es awaz ki rahnumayee mein nateejah akhz kerta hey. Filwaqey yeh Allah Taala ki awaz hoti hey. Aur Allah Taala ka bakhsha hua nateejah hota hey. Nateejah insan ki zaat tuk pohanchta hey. Yaheen say nafs ki tanqeed shroo hoti hey. Yeh tanqeed insan ki niyet ko saheeh rakhtee ya ghalat ker deti hey. Quran Pak mein nafs ki es hi tanqeed ko royat aur nazar ka naam diya gaya hey. Allah Taala farmatey hen:

 

(sorۂ aaraf, ayet 189) وَتَرَاھُمْ یَنْظُرُوْنَ اِلَیْکَ وَھُمْ لَایُبْصِرُوْنَ َ

 

Aur tu dekh raha hey ke teri taraf dekh rahey hen agarchey wo nahin dekh rahey.

 

Es ayet mein char agenciyon ka tazkirah hey. Nafs ki do agenciyon ka naam royat aur nazar lea gaya hey. Neez لَایُبْصِرُوْنَ mein Illahi Sama’at aur basarat ki dono hi agenciyan madgHum hen. Jab tuk insan andronee awaz per tawajoh nahin deta, rahnumayee hasil nahin ker skta.

 

 


 

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi