Topics
Nisbat
awaisyia ka inkishaaf pehley pehl Hazrat Ghos ul Azam (R.A) ke tareeq mein hua
jis ki misaal pani ke aisey chashmey sey di ja sakti hey jo kisi pahaar ke andar
ya kisi medan mein yakayak phoot parey aur kuch door beh kar phir zameen mein
jazb ho jaye aur makhfi tor par zameen ke andar behtey behtey phir kisi fowarah
sifat phoot nikley. Ala hazul qayaas Hazrat Ghos ul Azam (R.A) ke baad yeh
silsilah isi tarah jaari hey. Log es hi nisbat ko nisbat awaisyia kehtey hain.
Es nisbat ka faizan makhfi tor sey ya tu mala e alaa ke zariye ya phir Ambiyaa ki
arwah ki ma’rfat ya qurb-e-faraiz ke Auliyae sabqeen ki rooho’n ke waastey sey
hota hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi