Topics
Allah
Taala ki in majmoyee sifaat ka naam hey jin ka aks insan ke saabta ko haasil
hey. Quran Pak mein jis nayabat ka tazkirah hey aur Allah Taala ney Ilm ul Asmaa
ki hesiyat mein jo Ilm adam ko tafweez kiya tha es ke ausaaf aur ikhtiyaar ke shobey
Tadallah hi ki shakal mein wajood rakhety hain. Koi shakhs agar apni nayabat ke
ikhtiyarat ko samjhna chahey tu issey Tadallah ke ajza ki poori maloomat farahum
karna paren gi.
Pehley
yeh jaanna zaruri hey ke Allah Taala ka har Ism Allah Ta’alah ki aik sifat ka
naam hota hey aur wo sifat juzvi tor par Allah Taala ke naaib yani insan ko
Azal mein haasil hoyee thi. Maslan Allah Taala ka aik naam hey Raheem. Es ki
sifat hey takhleeq yani peda karna. Chunachey pedaish ki jis qadar tarzein mojoodat
mein istemaal hoyee hain in sab ka muharik aik aur khaliq Raheem hey. Agar koi
shakhs Raheem ki juzvi sifat ka faidah uthana chahey tu es ko Ism Raheem ki
sifat ka ziyadah sey ziyadah zakheerah apney batin mein karna hoga. Es ka
tareeqah bhi muraqba hey. Aik waqt muqarar kar ke salik ko apni fikr ke andar
yeh mehsoos karna chahiye ke es ki zaat ko Allah Taala ki sifat Raheemi ka aik
jazv haasil hey.
Quran
Pak mein Allah Taala ney jahan Eesa Alehem salam ke mo’jzaat ka tazkirah kiya
hey, wahan yeh bataya hey ke mein ne Eesa (A.S) ko Rooh phoonkney ka wasaf
bakhsha hey. Yeh wasaf meri taraf sey muntaqil hua aur es ke nataaij maine atta
kiye.
Tarjumah: “Aur
jab tu banata mitti sey jaanwar ki surat merey hukum sey, phir dam marta es mein
tu ho jata jaanwar merey hukum sey, aur change karta maa ke pet ka andha aur korrhi
ko merey hukum sey, aur jab nikaal kharey karta murdey merey hukum sey.”
Alfaaz
ke muaani mein Ism Raheem ki sifat mojood hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi