Topics
Maslan:
Sona=Nasma No. 3+35+31+50+51
Gero=Nasma No. 5+31+35+49
Seb=Nasma No.3+2+5+32+36+45+20+21+29
Gulab Ka Phool=Nasma No. 5+36+31+43+29+24
Tambacoo=Nasma No.3+36+43+34+30+31+28+22
Paani=Nasma No.2+36+53+49+52+23+27+19+55+40+39+38+58+61+60+48
Paarah=Nasma No.1+50+54+36+53+42+39+24+29+52+58+47
Sheeshah=Nasma No.1+50+35+31+55+49+48+59+61+39+52+53+42+54
Lakri=Namsa No.3+36+42+53+62+48+27
Loha (Folaad) =Nasma No.1+35+42+30+48+24+59+62
Tamatar=Nasma No.5+36+50+45+32+31+42+34+21+29
Aaloo=Nasma No.2+46+36+25+29+42+32+35+54
Mandarjah Baala naqshah ki roo sey hum Nasma ki
ijtimaiyat aur ijtimaiyat ke madarij ka qadrey andazah laga saktey hain.
Waze ho
ke jis cheez ka naam hiss rakha jata hey es ke do ajza hotey hain. In do ajza ko
hum do rukh bhi keh saktey hain. Kisi aisey jism mein jis ko maadi kaha jata hey.
Yeh dono rukh aik dusrey sey mulhaq hotey hain. Aam nazariyaat mein koi cheez
in hi do rukhon ka majmuaa samjhi jati hey. Looh-e-mehfooz ka yehi qa’noon hey.
Koi cheez mujarad ho ya maadi, ghair marai ho ya marai baherhaal es qa’noon ka
paband hey. Yeh dono’n rukh kisi bhi cheez mein zaroor paaye jaatey hain. Marai
ashiya mein tu yeh cheez mushahidah mein hoti hey lekin ghair marai ashiya mein
agarchey jismani aankh es halat ka mushaahidah nahin karti phir bhi haqeeqat es
ke siwa nahin hey. Chunachey ghair marai cheezon mein bhi jab kisi tarah
mushahidah kiya jata hey tu yehi qa’noon wahan bhi jaari o saari nazar aata
hey. Marai cheezo’n mein jis tarah yeh dono’n rukh aik dusrey sey mulhaq hotey
hain es hi tarah ghair marai cheezo’n mein bhi yeh dono rukh aik dusrey sey
wabastah paaye jaatey hain. Khuwah wabastagi ki noiyat kuch bhi ho. Es hi
qa’noon ke tehat “Ahsaas” ya “hiss” ke bhi yehi do rukh ya do maratib hain.
Aik rukh
ya aik martabah wahan paaya jata hey jahan mushahidah karney wali quwat mojood
hey aur mehsoos karti hey aur dusra rukh paaya jata hey jahan mushahidah karney
wali quwat ki nigah par rahi hey. Yani jahan mehsoos karney wali hiss markooz
hey.
Looh-e-mehfooz
ke qa’noon ki ru sey yeh dono maratib mila kar kisi maahiyat ka fayl ya hukum bantey
hain aur aik hi qaalib giney jaatey hain maslan siyaah rang ko takhtah siyaah
par dekhtey hain. Es ka tajziya es tarah ho sakta hey. Takhtah=Nasma no.31+35
Is
misaal mein takhta ka siyaah rang “Hiss” ka aik martabah hey aur dekhney wali aankh
ka ehsaas “Hiss” ka dusra martabah hey. Es tarah dono’n martabey mil kar aik
makhsoos maahiyat ka aik fayl, ya aik hukum ya aik harkat bantey hain. Tasawuf ki
zuban mein hiss ke in dono’n martabao’n ki yak jaai ka na tamsul hey. Goya yeh
aik qaalib hey jahan do maratib ki shakal apni puri sifaat ke sath mujtamaa ho
gayi hey. mushahidat yeh batatey hain ke koi cheez marai ho ya ghair marai
bagher shakal-o-surat ke nahin ho sakti kiyunkeh baghair shakal-o-surat ke kisi
cheez ka qayaam haqeeqat ki ru sey na mumkin hey. Tasawuf ki zuban mein jis
jagah do maratib ki shakal-o-surat jama ho kar aik wajood ki takhleeq karti hey.
Es wajood ko tamsul kehtey hain. Agarchey es wajood ko jismani aankh nahin dekh
sakti lekin Rooh ki aankh es wajood ko es hi tarah dekhti hey jis tarah ke jismani
aankh kisi maadi qaalib ko dekhti aur mehsoos karti hey.
Jism ki
tarah tamsul mein bhi ibaad yani (DIMENSIONS) hotey hain aur ruhaani aankh in
ibaad ke too’l-o-arz ko mushahidah hi nahin karti balkeh in ki makaniyat ko
mehsoos bhi karti hey. Sufia hazraat es hi tamsul ki heyola kehtey hain.
Dar’asl yeh mesusaat ka dhaancha hey jis mein wo tamam ajzaye tarteebi mojood
hotey hain jin ka aik qadam aagey barhney ke baad jismani aankh baqaidah dekhti
aur jismani lamsah ba’qaaidah ehsaas karta hey.
Kisi
cheez ki mojudgi pehley aik tamsul ya heyola ki shakal-o-surat mein wajood
pazeer hoti hey. Yeh heyola Nasma mufarid ki tarkeebi heyiyat hey. Es ke baad
dusrey marhalah mein yeh Nasma mufarid jab Nasma murakab ki shakal ikhtiyaar
karta hey tu es ki harkat mein intihaai susti aur jamood peda ho jata hey. Es hi
susti aur jamood ka naam “thos hiss” hey.
Hum ne ooper
Nasma ki do qismein bayan ki hain. Mufarid aur muarakab. Yehan es ki thori si
wazahat zaroori hey. Darasal Nasma mufarid aisi harkaat ka majmuaa hey jo aik
simt sey dusri simt mein jaari o saari hein.
Aik
khaas tanazul ki had tak Nasma ki harkat mufarid wazhey rehti hey. Yeh wazaa ya
tanazul bilkul aik pardah ki tarah hey yani aik aisa pardah para hua hey jo
aisi bey rang shuaaon sey mil kar bana hey jin ka rukh aik simt sey dusri simt ki
taraf harkat kar raha hey. Yeh bey rang shuaaein goya muteharik lakeerein hain
jo kaprey ke taaney ki tarah agarachey aik dusrey sey alag alag hein magar aik
dusrey mein pewast bhi hain. Yeh kapra jab tak es haalat mein bagher baaney ke yani
akherah raha us waqt tak yeh Nasma mufarid ki kefiyat par qayam hey. Es kaprey
ke andar jitney naqsh-o-nigaar banaye jayin gey in ka naam jinaat aur jinaat ki
duniya hey.
Lekin
jab yeh kapra aisey tanazul ki hado’n mein daakhil hota hey jahan es ke kaprey
ke baaney ki tarah aik dusri harkat jo pehli harkat ki khilaf simt mein jaari o
saari hey, aa kar pewast ho jati hey neez es kaprey ke andar bohat sey naqsh-o-nigaar
ban jaatey hain tu in naqsh-o-nigaar ka naam insan aur insan ki duniya hey.
Goya Nasma mufarid ya harkat-e-mufarid jinaat ki duniya hey aur Nasma murakab
ya harkat murakab insan ki duniya hey. Hum ne jis ka naam “Harkat” rakha hey
yeh wohi “Ahsaas” hey jis ke heyola ko hum opper tamsul ke chukey hain. Jab tak
yeh harkat ghair mehsoos daairey mein rehti hey tamsul kehlati hey aur jab yeh
harkat mehsoos daaairey mein aa jati hey tu es ka naam jism ho jata hey. Es hi jism
ko hum thos maadiyat ka naam detey hain.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi