Topics
Is nisbat
ka teesra juzv nisbat jazb hey. Yeh wo nisbat hey jis ko taba taabeen ke baad sab
sey pehley Khawaja Bahaulhaqo uddin Naqashbandi ney bey nishaani ka naam diya
hey. Es hi ko naqashbani jamat yad’dasht ka naam deti hey jab Arif ka zehan es
simt mein rujoo karta hey jis simt mein Azal ke anwaar chhaaye hoey hoon aur
Azal sey pehley ke naqoosh mojood hain. Tu yehi naqossh Arif ke qalb mein baar
baar daur kartey hain aur sirf “wehdat” Fikar-e-Arif ka ahataah kar leti hey
aur har taraf “ hoiyat” ka tasalut ho jata hey tu yehan sey es nisbat ki
shuaaein Rooh par nazool karti hain. Jab Arif in mein ghir jata hey aur kisi
taraf nikalney ki raah nahin paata tu aqal-o-shaoor sey dast bardaar ho kar
khud ko es nisbat ki roshiniyo’n ke reham-o-karam par chhor deta hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi