Topics

Looh e Doyem

 

“Joo” tasawuf ki zaban mein mojoodat ka aisa majmua hey jo Allah Taala ki sifaat ke khad-o-khaal par mushtamil hey. “ joo” looh-e-Doyem kehlati hey es liye ke wo looh-e-awal yani looh-e-mehfooz ke matan ki tafseel hey.

Looh-e-mehfooz Kainat ki takhleeq sey mutaliq Allah Taala ke ahkamaat ka majmu’aa tasaaweer hey. Kainat ke andar jo bhi harkat waaqia honey wali hey es ki tasweer man-wa-ann looh-e-mehfooz par naqsh hey. Allah Taala ney insan ko iradah ka ikhitiyaar aata kiya hey. Jab insani iraado’n ki tasaaweer looh-e-mehfooz ki tasaaweer mein shaamil ho jati hain es waqt looh-e-awal loo-e-Doyem ki shakal ikhtiyaar kar leti hey. Es hi looh-e-Doyem ko sufiyaa apni zubaan mein “joo” kehtey hain yani looh-e-mehfooz pehla aalam-e-tamsal hey.

Aur joo dusra aalam-e-tamsal hey jis mein insani iraadey bhi shaamil hain.

Pehley Allah Taala ki wo ta’reef bayan karna zaruri hey jo Quran Pak mein ki gayi hey:

قُلْ ھُوَاللّٰہُ اَحَدُٗoاَللہُ الصَّمَدُoلَمْ یَلِدْ وَلَمْ یُوْلَدْ oوَلَمْ یَکُنْ لَّہٗ کُفُوًا اَحَدُo

 Tarjumah: Aey Pegambar Salallaho Alhe Vasalam! Ke dijiye Allah aik hey. Beyniyaaz hey. Na kisi ney es ko jana na es ney kisi ko jana aur na es ka koi khandaan hey.

          Yehan Allah Taala ki paanch sifaat bayan hoyee hain. Pehli sifat wehdat yani wo kasrat nahin. Dusri sifat bey’niyaazi yani wo kisi ka mohtaaj nahin. Teesri sifat yeh ke wo kisi ka baap nahin. Chothi sifat yeh ke wo kisi ka beta nahin. Paanchwin sifat yeh ke es ka koi khaandaan nahin. Yeh ta’reef khaaliq ki hey aur khaaliq ki jo bhi ta’reef hogi makhlooq ki ta’reef ke bar’aks hogi Ya makhlooq ki jo bhi ta’reef hogi khaaliq ki ta’reef ke bar’aks hogi. Agar hum khaaliq ki ta’reefaati hado’n ko chhor kar makhlooq ki ta’reef bayan karen tu es tarah kahen gey ke khaaliq wahdat hey tu makhlooq kasrat hey, khaaliq bey’niyaaz hey tu makhlooq mohtaaj, khaaliq baap nahin rakhta tu makhlooq baap rakhti hey. Khaaliq ka koi beta nahin lekin makhlooq ka beta hota hey, khaaliq ka koi khaandaan nahin lekin Makhlooq ka khandan hona zaruri hey.

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi