Topics
Agar insan shaoor ke aainey mein
uloom laduniya ke tasweeri aks dekhnay ki khwahish rakhta ho tu es ki aik bohat
hi sahal tarkeeb hai. Woh kisi tareek gosha mein jahan
garmi aur sardi mamool se ziyada nah ho baith jaye. Haath, peeron aur jism ke tamam
asaab ko dheela chore day, itna dheela ke mehsoos nah ho ke jism mojood hai.
Saans ki raftaar kam se kam karna zurori hai. Saans ki raftaar taiz nahi honi
chahiye. Ankhen band karle aur apni zaat ke andar jhanknay ki koshish kare.
Agar es ke khayalat aur es ka amal pakeeza hey tu es amal se es ka lateefa
nafsi bohat jald rangeen ho jaye ga aur lateefa nafsi rangeen ho jaaane se
shaoor ki andar jila peda hoti jaye gi. Tasawuf mein
es amal ka naam muraqba hai. Surah muzammil shareef mein Allah Taala ny farmaya
hey : وَذْكُرِاسْمَ رَبِّكَ وَتَبَتَّلْ إِلَيْهِ تَبْتِيلًا o aur sab se qata kar ki es hi ki taraf
mutwajjah raho. Muraqba mein es hukum ki tameel zurori hai. Jism ko dheela
chore dena, saans ko bohat halka kar dena laa taulqi peda karne ki liye zurori
hai. Jab jism ghair mehsoos ho jata hey es waqt Nuqta Zaat Saood karna shuru
kar deta hai. Es haalat ki ilawa Nuqta Zaat sirf nuzool karta hai, Saood nahi
karta. Saood mehez es waqt karta hey jab usay jism ki takazay azad chore den.
Aur zehen duniya ki batiyaa yaad nah dilay. Jab Nuqta Zaat ko duniya ki koi
fikr la-haq nahi hoti to “Aalam Amr” ki sair mein masroof ho jata hey aur “Aalam
Amr” ki hudood mein chalta phirta, khata peeta aur woh saaray kaam karta hey jo
es ki noorani mashaghil kehla satke hain. Yahan woh Makaan ki qaid o band se
azad hota hai. Es ki qadam Zaman ki ibtida se Zaman ki intahaa taq iraday ki mutabiq
uthte hain. Jab Nuqta Zaat muraqba ki mashaghil mein poori maloomat haasil kar
laita hey tu es mein itni wusat peda ho jati hey ki Zaman ki dono kinaroon Azal
aur Abad ko chhoo sakay. Phir iradah ki tehat apni quwatoon ko istemaal kar
sakta hai. Woh hazaron saal pehlay ki ya hazaron saal baad ki waqeat dekhna
chahay tu dekh sakta hey kyunkay Azal se Abad taq darmiyani hudood mein jo kuch
pehlay mojood tha aur aindah ho ga es waqt bhi mojood hai. Es hi kefiyat ko
arifon ki istilaah mein" sair" kehte hain.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi