Topics
Allah Taala ka irshad
hai :
وَاِلَی اَللّٰہِ تُرْ جَعُ الْاُمُوْر Tamam Umoor Allah ki
taraf rujoo karte hain.
Khalq ke baad sirf
rujoo ka marhala reh jata hai. Lekin Amr woh marhala hai jis mein nuzool hai.
Nuzool ke maienay hain khala mein tasawurat ka daakhil hona. Jo itla’at khala (zarra)
mein
daakhil hoti hain
tasawurat kehlati hain. Un tasawurat ko Allah Taala naay Maa (pani)
ka naam diya hai. Darasal pani tasawurat ka khoal hai, ya woh aisay joharon ka
majmoa hai jis mein har johar tasawwur ki hesiyat rakhta hai. Yeh hai pani ki mahiyet.
ooper ki ayat mein es hi noiyat ki taraf ishara hai. Pani ke khawaas yeh hain
ke woh phool mein ja kar phool ban jata hai. Kantay mein ja kar kaanta ban jata
hai. Pathar mein ja kar pathar ban jata hai. Sonay mein ja kar sona ban jata
hai aur heere mein ja kar heera ban jata hai.
Hamaray zehan mein
tasawurat ka aik majmoa hai jis ko hum sona ke kar pukartey hain. Aur
tasawurat ka aik dosra majmoa hai jis ko heera ke kar pukartey hain. Sona aur
heera do lafz hain ya do khoal hain, jin mein tasawurat ke allag allag mjmoae
muqeed hain. Un mein har majmoa idraak hai. Idraak ko aawaz mein qaid kya jaye
tu lafz ban jata hai. Idraak ke bohat se naam hain maslan Khala, Mabda
(secret plan), Amr, Waqt (non-serial time) ya nafs waghera. Yahi kaayenaat
ki asaas hai.
Ensaan ke andar idraak
zehen hai. Zehen ki wusat kaayenaat ke aik siray se doosray siray taq hai. Es hi
ka aik rukh geherai yani Zaman hai aur dosra rukh pahnai yani makaan hai. Jab
zehen Zaman mein dekhta hai tu es ki harkat”Amr” hoti hai aur jab makaan mein
dekhta hai tu es ki harkat Khalq hoti hai. Khalq woh lafz hai jis ki dono
qismon ka tazkara ooper ho chuka hai.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi