Topics
Kainat ki
saakht mein Nasma (Nazar na aaney wali roshni) har cheez ka ahaatah kiye hoey hey.
Ahaatah karney sey muraad har musbat aur manfi zindagi ki bisaat mein Nasma ka
muheet hona hey. Goya har cheez ke kam tareen aur la’nishan juzv “latujza” ki buniyad
do qismon par hey. Aik es ki munfiyat aur dusri es ki asbatiyat. In hi dono
salahiyaton ki yakjaai ka naam Nasma hey.
Hum aam
guftugu mein lafz piyas istemaal kartey hain lekin es lafz ke jo mayini samajhtey
hain wo ghair haqeeqi hain. Asal mein piyas aur pani dono mil kar aik wajood
banatey hain. Manfiyat piyaas, asbaitiyat. Waaze tor par es tarah kehna chahiye
ke piyas Rooh hey aur pani Jism. Piyas aik rukh hey aur pani dusra rukh. Agarachey
yeh dono rukh aik dusrey sey mutazaad hain ta’hum aik hi wajood ke do ajzza
hain. Piyas sey pani ko aur pani sey piyas ko alag nahin kiya ja sakta. Jab tak
duniya mein piyas mojood hey pani mojood hey. Yani piyas ka hona pani ke wajood
ki roshan daleel hey. Isi tarah pani ka hona piyas ke wajood ki roshan daleel.
Ruhaaniyaat mein yeh dono mil kar aik wajood hain lekin in ki pewastgi aik
dusrey ke sath es tarah nahin hey jis tarah aik warq ke do safhaat ki. Aik warq
ke do safhaat aik dusrey sey alag alag nahin ho saktey lekin piyas aur pani ka
wajood aik aisa warq hey jis mein sirf makani fasla hey, zamani fasla nahin hey.
Es ke bar’khilaaf kaghaz ke warq mein sirf zamani fasla hey, makani fasilah
nahin hey. Ashiya ki saakht mein Allah Taala ney do rukh rakhey hain. Kisi shey
ke do rukhon mein ya tu makani fasla numaiyan hota hey ya zamani fasla numaiyan
hota hey. Aik admi kurrah e arzi par peda hota hey aur rehlat karta hey. In
dono rukhon ke darmiyan zamani fasla hey. Es zamani fasla ke naqsh-o-nigaar es ki
zindagi hain, jo haqeeqatan makaniyat hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi