Topics
Azal sey
Abad tak jo kuch honey wala hey wo saarey ka sara ijtimayee tor par looh-e-
mehfooz par naqsh hey. Agar hum Azal sey qayamat tak ka tammam program mutalaa karna
chahein tu looh-e-mefooz mein es ki tamsalein dekh saktey hain. Goya
looh-e-mehfooz poori mojodaat ka yakjaai program hey. Agar hum kisi aik fard
wahid ki hayat ka program mutalaa karna chahein tu looh-e-mehfooz ke ilawaa es ka
naqsh fard ke Ayaan mein dekh saktey hain. Kehna yeh hey ke waajib ya Ilm qalam
Azal sey Abad tak Kainat ke Ilm ghaib ka record hey. Kuliyaat ya looh-e-mehfooz
Azal sey hashar tak ke ahkamaat ka record hey.
“Joo “Azal
sey Abad tak mojoodat ke amaal ka record hey lekin fard ke Sabtah mein sirf
fard ke apney baarey mein ilm-ul-Ghaib ka indaraaj hey. Fard ke Ayaan mein sirf
es ke apney mutaliq ahkamaat hain aur fard ke Jovaya mein sirf es ke apney
amaal ka record hey.
Tashreeh:
Ilm Ilaahi ki tajalli ka jo aks insan ke
Sabtah mein hey wo shakal-o-surat yani tamsulaat ki zubaan mein manqoosh hota
hey. Yeh tamsulaat Allah Taala ki maslihato’n aur ramooz ki tashreeh hotey
hain. Yeh tashreehat lateefah Khaffi ki roshiniyo’n mein mutale’ah ki ja sakti
hain. Agar lateefah Khaffi ki roshiniya’n istemaal na hon tu yeh tashreehat nigah
aur zehan insani par munkashif nahin ho saktein. Tafheem mein musalsal beydaar
rehney ki wajah se lateefah Khaffi ki roshini batdareej barhti jati hey. Es hi
roshini mein ghaib ke tammam naqoosh nazar aaney lagtey hain kiyon ke yehi roshiniya’n
lateefah Akhfaa sey lateefah nafsi tak phel jati hain. Hum peshtar Sabtah ka
tazkirah kar chukey hain. Warq aur nuqtah ki wohi hesiyat Ayaan aur Jovaya ki
bhi hey.
Sahib-e-Israr
lateefah Khaffi ki roshini mein Sabtah ki tajalliyaat ko, saahib tafseel
lateefah roohi ki roshini mein aayaan ke ahkaam ko aur saahib-e-ajmaal lateefah
nafsi ki roshini mein Jovaya ke amaal ko parh sakta hey. Jo ta’luq latefah
akhfaa ka Akhfaa ki tajalliyaat sey hey wohi ta’luq lateefah roohi ka lateefah sirri
ke ahkamaat sey hey aur wo hi ta’luq lateefah nafsi ka lateefah qalbi ke amaal
sey hey.
Hum bata
chukey hain ke Lateefah sirri mein kisi fard ke mutaliq ahkaam looh-e-mehfooz
ke tamsulaat ki shakal mein mehfooz hotey hain. Yeh ahkaam lateefah roohi ki
roshini mein mutalaa kiye ja saktey hain. Muraqbah sey lateefah roohi ki
roshiniya’n itni tez ho jati hain ke in ke zariye looh-e-mehfooz ke ahkamaat parhey
ja saktey hain.
Lateefah
qalbi mein insan ke tammam amaal ka record rehta hey. Es record ko lateefah
nafsi ki roshini mein parha ja sakta hey. Muraqbah ke zariye lateefah nafsi ki
roshini barh jati hey ke es ke zariye Aalam tamsaal yani “Joo” ke andar guzrey
hoey aur honey waley tammam amaal ki tamsaalein dekhi ja sakti hain.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi