Topics
Kisi na kisi tarhan insan ko es nazariya
per mjtma hona prray ga ke yeh mehsoos Kainat hrgz hrgz made zrat ka majmoey
nahin hey balkey sirf shaoor ka heoleٰ hey. Mzkorh bala abart mein Kainat ko char
shaooron ka Murakab btaea gaya hey. Pehlashaoor Noor Mafrad say tameer
hua hay, doosra shaoor Noor Murakab say. Teesra shaoor Nasma Mafrad
ki trkeb hey aur chotha shaoor Nasma Murakab ke in charon Shaooron mein faqat
chotha Shaoor awaam say mutarif hey. Awaam sirf es hi shaoor ko jantay aur
samajhtey hen. Baqiyah teen shaoor amatunaas kay taaruf say bala ter hen. Ab
tak nafsiyat kay mahireen nay shaoor chahrum say hut ker jis cheez ka suragh
lagaya hey wo shaoor soyam hey jis ko yeh hazraat apni istalah mein Lashaoor ka
naam detay hen lekin Quran Pak shaoor awal aur shaoor doyem ka taaruf bhi krata
hey. Chunachey in dono shaooron ko bhi hum Lashaoor he shumar kren gay.
Es tarhan Kainat ki sakht mein
teen Lashaoor paeay jatay hen pehla Lashaoor Shaoor Awal, doosra Lashaoor
Shaoor Doem, Teesra Lashaoor Shaoor Soyam hey. In charon shaooron mein Awal
shaoor La Makan hey aur baqi teen shaoor Makan hen. Awal shaoor ko ghair
mutaghayur honey ki wajah say Lamakan kaha gaya hey.
Phlay Kainat kay ander mojood kisi
cheez ki mehvari gardish ko samjhna hey aur phir toolani gardish ko.
Missal:
Hum apni ankhon kay samnay sheeshey
ka ek glass rakh ker ghor kren tu glass ki mehvari gardish ka tajziya hasbe
zeil alfaz mein ker saktey hen.
Jab glass per hamari nigha parti
hey tu nuzool aur saood kay chey daeray tay ker jati hey. Hamaray hawaas kay
ander pehley glass wahma ki soorat mein dakhil hota hey. Phir yeh hi wahma
glass ka khayal ban jata hey. Baada yeh hi khayal tasawur ki shakl ikhtiyar ker
kay ehsas ka darjah hasil ker leta hey. Phir foran hi ehsas tasawur men,
tasawur khayal mein aur khayal wahmaa kay ander muntaqil ho jata hey. Yeh sara
amal taqriban ek second kay hazarvein hissey mein waqey hota hey aur bar bar
daur kerta rehta hey. Es daur ki raftar itni tez hoti hey ke hum her ek cheez
ko apni ankhon kay samnay sakht mehsoos kartey hen.
Wahmh say shroo ho ker khayal, tassawur, ehsaas... Phir tasawur aur khayal
tak nuzool aur saood kay chey qadam hotay hen. In hi chey msafton ko ltaef
sittah kaha jata hey lekin wahmaa say ehsas tak bawad sirf char hotay hen. In
char bawad ya char shaooron mein ek shaoor hey aur teen Lashaoor hen. Sub say
awal hamein wahmaa say rabth qayam rakhna parta hay, phir khayal aur tasawur
say. Albta yeh teeno halten hamaray shaoor say balater hen. Faqat chothee halat
jis ko royat kaha jata hay, hum say mutarif hey.
Royet ka shaoor baqi teen Lashaoor
ka majmawaa hey. Hum awal waraey Kainati shaoor say jo gher mutaghayur hey apni
hiyet ki ibtida kartey hen. Yani sifat Illahi mein ek fowarah photta hey aur wo
fowarah tesray qadam per fard ban jata hey. Pehley qadam per fowarah ka heyola Kainat
ki shakl mein hota hay, doosray qadam per wo Kainat ki kisi ek nou ka heyola
banta hey aur teesray qadam per wo fard ban ker roonuma ho jata hey.
Fard ki halat mein lashmar rungon
ka ek fowarah wujood mein aata hey. In lashmar rungon ki tarteeb ko ehsas mein
qayam rakhna taqriban mohaal hey. Es hi leay shaoor chahrum kay hawaas kabhi
bohat zyadah ghalateyan kartey hen. Es tarteeb ko aksar qayaas kay zariyey
qayam rakhnay ki koshish ki jati hey lekin yeh koshish qareeb qareeb nakaam
rehti hey. Es hi wastay roohani Uloom mein shaoor chahrum per aitmad nahin kiya
jata. Shaoor soyam mein Kainat kay her zarey ka rabt fard kay zehan say
munsalik hota hey. Kainat mein jo kuch taghayurat ho chkay hen ya honey waley
hen wo fard kay shaoor doyem mein mujtma hotay hen. Shaoor doyem ka heyola Azal
say Abad tak ki ki Kainati faalyet ka record hota hey. Es shaoor mein wo tamam
ajza paeay jatay hen jo Kull mojoodat ki asal hen. Roohanyet mein sub say ehum zariya
e aitmad shaoor awal hey kiyonke shaoor awal mein Masheeyat Illahi bay naqab
hoti hey. Tassawuf ki istalah mein Haqeeqat Alhqaeq es hi shaoor ka naam hey.
Es hi ko Haqeeqat Mohammadiya kehtey hen. Huzoor Alleh Salato vasalam
say peishter kisi Nabi nay es shaoor kay baray mein tabsiraa nahin kiya. Dars e
Eisvee ki ibtadaein bhi shaoor doyem say hoti hen. Sub say pehley es shaoor ki
tehqeeq Huzoor Alleh Salato vaslam nay ki hey. Es hi baayes Qurani mutasavfeen
es ko Haqeeqat Mohammadiya kay naam say pukartey hen.
Ambiyaey mursaleen ki wahee ka muntaha shaoor
doyem aur Ambiya ki wahee ka muntaha shaoor soyam hey. Sirf Huzoor Alleh Salato
vaslam wo Nabi e Mursaleen hen jin ki wahee ka muntaha Shaoor Awal hey. Allah Taala
ka yeh irshad “Agar mein Mohammad Salallho Allehe Wasalam ko
peda na kerta tu Kainat ko na bnata.” Es hi wajah say Quran Pak mein Shaoor Awal
ko Ilmul Qalam kay naam say mutarif kraea gaya hey. Huzoor Alleh Salato vaslam
nay ek Duaae Masoorah mein farmaya hay:
اسئلک بکل اشھر ھولک سمیت بہ نفسک اوانزلتہ فی
کتابک اوعلمتہ احداً من خلقک اواستاقدت بہ فی علم الغیب عندک۔
Trajumah: Mein Teri janab mein her ek
aisey Ism ka wastah lata hoon jo teray Ism Muqadas hen aur us ko tu nay Apnay
leay muqarar farmaya hey ya us ko tu nay Apni Kitab Majeed mein nazil farmaya
hey ya apni makhlooq say kisi ko es ka Ilm diya ya apnay Ilm mein es ka janna
Apnay leay makhsoos farmaya.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi