Topics
Rooh ki
saakht musalsal harkat chahati hey. Bey’daari ki tarah neend mein bhi insan kuch
nah kuch karta rehta hey. Lekin wo jo kuch karta hey es sey waqif nahin hota.
Sirf khuab ki haalat aisi hey jis ka issey Ilm hota hey. Zarurat es ki hey ke hum
khuab ke alawah neend ki baqi harkaat sey kis tarah mutlah hoon. Insan ki zaat
neend mein jo harkaat karti hey agar haafizah kisi tarah es laaiq ho jaye ke es
ko yaad rakh sakey tu hum baqaaidigi sey es ka aik record rakh saktey hain. Haafizah
kisi naqsh ko es waqt yaad rakhta hey jab wo ghera ho. Yeh mushahidah hey ke beydaari
ki haalat mein hum jis cheez ki taraf mutawajo hotey hain es ko yaad rakh
saktey hain aur jis ki taraf mutawajo nahin hotey issey bhool jaatey hain. Qanooni
tor par jab hum neend ki tammam harkaat ko yaad rakhna chahein tu din raat mein
huma waqt nigah ko ba’khabar rakhney ka ahtimaam karen gey. Yeh ahtimaam sirf
jaagney sey hi ho sakta hey. Tabiyat es baat ki aadi hey ke admi ko sula kar
zaat ko bey’daar kar deti hey. Phir zaat ki harkaat shuru ho jati hain. Pehley
pehal tu es aadat ki khilaaf warzi karna tabiyat ke inqabaaz ka baayis hota
hey. Kam sey kam do din-o-raat guzar janey ke baad tabiyat mein kuch basat peda
honey lagta hey aur zaat ki harkaat shuru ho jati hein. Awal awal ankhein band
kar ke zaat ki harkaat ka mushahidah kiya ja sakta hey. Musalsal isi tarah kayee
haftey kayee maah jaagney ka ahtamaam karney ke baad ankhein khol kar bhi zaat
ki harkaat samney aaney lagti hain. Ahl-e-Tasawuf band ankhon ki haalat ko
warood aur khuli ankhon ki haalat ko shahood kehtey hain. Warood ya shahood
mein nigah ke dekhney ka zariyah lateefah Khaffi ka lens hota hey aur jo kuch
nazar aata hey. Jovaya ke intibaat hotey hain. Yeh intibaat Sabtah ki wo
tajalliyaat hain jin ka aks Jovaya mein shakal-o-surat aur harkaat ban jata hey.
Jab tak yeh tajalliya’n Sabtah mein hain. Ghaib-ul-Ghaib kehlati hain aur in ko
Ilm Ilaahi bhi kaha jata hey. In tajalliyo’n ke aks ko Ayaan mein ghaib ya
ahkaam Ilaahi kehtey hain. Phir in hi tajalliyo’n ka aks Jovaya ki had mein dakhil
honey par warood ya shahood ban jata hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi