Topics
Her Zee shaoor Kainat ka mehle
woqoo janta hey. Wo yeh zaroor sochta hey ke akhir yeh tamam kis jagah qayam hen.
Kis satah per rukey hoyee hen. Quran Pak mein jagah jagah es sawal ka jawab
diya gaya hey. Bar bar Allah Taala nay farmaya hey ke mein Aleem hoon,
mein Khabeer hoon, mein Baseer hoon, mein Muheet hoon,
mein Qadeer hoon, mein zameen o aasman ka Noor hoon waghera waghera. In
tamam ibarton say lazman yeh nateejah baramad hota hey ke Kainat ka
mehle woqo Allah Taala ka Ilm hey.
Kainat Allah Taala kay Ilm mein
kis tarhan waqey hay? Yeh bat samajhney kay leay Kainat kay ajza ki dakhlee
sakht janna zaroori hey. Hum dekh rahey hen ke her cheez apnay maqam say qadam
qadam chal ker manzil ki taraf safar ker rahi hey. Es safar ka naam irtaqa hey.
Ab yeh samjhna zaroori hey ke irtaqa kiya hey. Aur kis tarhan woqoo mein aa
raha hey.
Hm roshni kay zariyey dekhtay ya
suntey , samajhtey aur chootey hen. Roshni hamein hawaas deti hey. Jin hawaas
kay zariyey hamein kisi sheay ka Ilm hasil hota hey wo roshni kay deeay hoeay
hen. Agar roshni darmiyan say hazaf ker de jaeay tu hmaray hawaas bhi hazaf ho
jaeen gay. Us waqt na tu khud hum apnay mushahida mein baqi rhen gay aur na koi
doosri sheay hmaray mushahidey mein baqi rahey gi.
Missal:
Agar koi
musavir safaid kaghaz per rang bhr kay darmiyan mein ek kabootar ki jagah khali
chor dein. Phir wo kaghaz dhikha kay kisi shaks say pochha jaeay tumhein kiya
nazar aata hey tu wo ke ga mein ek safaid kabootar dekh raha hon.
Jis tarhan yeh missal pesh ki
gayee bilkul es i tarhan Allah Taala ka Ilm Kainat ko ahataa keay hoeay hey. Kainat
ka her zarah ba soorat Khalaa Allah Taala kay Noor mein waqey hey. Dekhnay
waley ko Allah Taala ka Noor nazar nahin aata, sirf Kainat ka Khalaa nazar aata
hey. Jis ko wo ashiya Chand, Sooraj, Zameen, Aasman, Admi , Janwar
wagheira wagheira kehta hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi