Topics
Ab yeh
musilmah munkashf ho gaya ke insan kisi ghair jaanib daar aur zaawiyah sey
haqaaiq ko samajhney ki koshish karey tu qa’noon looh-e-mehfooz ke tehat insani
shaoor, lashaoor aur tehat lashaoor ka intabaiyah naqsh maloom karney mein kaamiyaab
ho jata hey. Intibaa wo naqsh hey jo basurat hukum aur ba’shakal tamsaal looh-e-mehfooz
(Satah-e-Kulliyaat) par kundah hey. Is hi ki ta’meel mann-o-ann apney waqt par
zahoor mein aati hey.
Shaoor
ka yeh qa’noon hey ke es duniya mein insan jitna hosh sanbhalta jata hey itna
hi apney mahol ki cheezo’n mein inhimaak peda karta jata hey. Es ke zehan mein mahol
ki tammam cheezein apni apni ta’reef aur noiyat ke sath es tarah mehfooz rehti
hain ke jab issey in cheezo’n mein sey kisi cheez ki zarurat pesh aati hey tu bohat
aasani sey apni muffeed cheez talash kar leta hey.
Maloom
hua ke insani shaoor mein tarteeb ke sath zindagi ke mukhtalif sho’bon ke istemaal
ki cheezein aur harkaat mojood rehti hain. Goya mahol ka hajoom insani zehan
mein pewast hey. Zehan ko itni moh’lat nahin milti ke shaoor ki had sey nikal
kar lashaoor ki had mein qadam rakh sakey.
Yehan
aik asool wazhey hota hey ke jab insan yeh chahey ke mera zehan lashaoor ki hado’n
mein da’khil ho jaye tu es hajoom ki giraft sey aazaad honey ki koshish karey. Insani
zehan mahol sey aazaadi haasil kar leney ke baad, shaoor ki duniya sey hat kar lashaoor
ki duniya mein daakhil ho jata hey.
Zehan ke
es amal ka naam istigna hey. Yeh istigna Allah Taala ki sifat-e-samadiyat ka
aks hey jis ko urf-e-aam mein inkhilaaye zehani kehtey hain. Agar koi shakhs es
ki mashq karna chahey tu es ke liye kitney hi zaraye aur tareeqey aisey mojood
hain jo mazhabi faraaiz ka darjah rakhtey hain. In faraaiz ko ada kar ke insan khaali-u;-zehan
honey ki ma’harat haasil kar sakta hey.
Salook
ki raaho’n mein jitney asbaaq parhaaye jaatey hain in sab ka maqsad bhi insan ko
khaali-ul-zehan banana hey. Wo kisi waqt bhi iradah kar ke khaali-ul-zehan
honey ka muraqba kar sakta hey.
Muraqba aik aisey tasawur ka naam hey jo ankhein band kar ke kiya jata hey. Maslan insan jab apni fan aka muraqba karna chahe tu yeh tasawur karey ga ke meri zindagi ke tammam aasaar fana ho chukey hain aur ab mein aik nuqtah roshini ki surat mein mojood hoon. Yani ankhein band kar ke yeh tasawur karey ke ab mein apni zaat ki duniya sey bilkul aazaad hoon. Sirf es duniya sey mera ta’luq baqi hey jis ke ahatah mein Azal sey Abad tak ki tammam sargarmiyan mojood hain.Chunachey koi insan jitni mashq karta jata hey. Itni hi looh-e-mehfooz ki intabaaiyat es ke zehan par munkashf hoti jati hey. Raftah raftah wo mehsoos karney lagta hey ke ghaib ke naqoosh es tarah waaqia hain aur in naqoosh ka mafhoom es ke shaoor mein muntaqil honey lagta hey. Intabaaiyat ka mutalaa karney ke liye sirf chand rozah muraqba kaafi hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi