Topics
Allah
Taala ka koi Ism darasal aik tajalli hey. Yeh tajalli Allah Taala ki aik khaas
sifat ki haamil hey aur es tajalli ke sath Qudrat ki tajalli aur sifat Rehmat ki
tajalli bhi shaamil hey. Es tarah har sifat ki tajalli ke sath do tajalliya’n aur
hain. Goya har Ism majmooa hey teen tajalliyo’n ka. Aik tajalli sifat Ism ki
dusri tajalli sifat Qudrat ki, teesri tajalli sifat Rehmat ki. Choonachey kisi
tajalli ke naam ko Ism kehtey hain. Yehan yeh samjhna zaruri hey ke har Ism majmoyee
hesiyat mein do sifaat par mushtamil hey. Aik khud tajalli aur aik tajalli apni
sifat ke sath harkat mein aa jati hey. Es harkat ko hum Ilm kehtey hain jo
fil-haqeeqat Allah Taala ke Ilm ka aks hey. Yeh harkat teen ajza par mushtamil
hey.
Pehla juzv
tajalli hey jo latifah Akhfaa ke andar nazool karta hey. Dusra juzv es tajalli
ke wasaf ki tashkeel hey jo latifah qalbi mein nazool karta hey aur es hi juzv ka
naam nigah hey aur es hi juzv ki kayee harkaat ka naam jo yakey baad degrey latifah
qalbi hi mein waqoo pazeer hoti hain. Guftaar-o-samaat, shaamah aur mashaam
hain. Ab yeh shaamah aur mashaam aik mazeed harkat ke zariyey rango’n ke naqsh-o-nigaar
ban kar latifah nafsi ko apni taraf khenchtey hain. Latifah qalbi aur latifah
nafsi ki yehi darmiyani kashish amal ya natijah hey.
Isi
tarah Rooh teen harkatein karti hey jo bek’waqt saadir hoti hain. Pehli harkat
kisi cheez ka jaan’na jis ka nazool latifah akhfaa mein hota hey. Dusri harkat
mehsoos karna jis ka nazool latifah sirri mein hota hey. Teesri harkat khawish
aur amal jis ka nazool latifah qalbi aur latifah nafsi mein hota hey. Har
harkat Sabtah sey shuru ho kar Jovaya par khatam ho jati hey. Jaisey hi Sabtah ke
latifah Akhfaa mein jaanna waqoo pazeer hua latifah akhfaa ney es ko record kar
liya. Phir jaisey hi Ain ke latifah sirri mein mehsoos karna waqoo pazeer hua,
latifah roohi ney es ko record kar liya. Phir Jovaya ke latifah qalbi mein es ka
amal waqoo pazeer hua aur latifah nafsi ney es ko record kar liya. Sabtah ney
jana, Ayaan ney mehsoos kiya aur Jovaya ney amal kiya. Yeh teeno’n harkaat bek
waqt shuru hoyeen aur bekwaqt khatam ho gayein. Es tarah zindagi lamha ba lamha
harkat mein aati rahi.
Fard ki
zindagi sey mutaliq Ilm ki tammam tajalliya’n Sabtah main, fikr ki tammam
tajalliya’n Ayaan mein aur amal ke tammam naqoosh Jovaya mein record hain. Aam
haalat mein hamari nazar es taraf kabhi nahin jati ke mojoodat ke tammam ajsaam
aur afrad mein aik makhfi rishtah hey. Es rishtah ki talash siwaaye ahl-e-rohaniyat
ke aur kisi qism ke ahl-e-Ilm aur ahl-e-fan nahin kar saktey ha’lan’ ke es hi
rishtah par Kainat ki zindagi ka inhisaar hey. Yehi rishtah aasmani ajraam aur
ajraam ke basney waley Zee Rooh aur Ghair Zee Rooh afrad mein aik dusrey ke ta’ruf
ka baayis hey.
Hamaari nigah
jab kisi sitaarey par parti hey tu hum apni nigah ke zariyey sitaarey ke bushraa
ko mehsoos kartey hain. Sitaarey ka bushraa kabhi hamari nigah ko apney
nazaarey sey nahin rokta. Wo kabhi nahin kaheta ke mujhey na dekho. Agar koi
makhfi rishtah mojood na hota tu har sitarah aur har aasmaani nazaraah hamari
zindagi ko qabool karney mein koi na koi rukawat zaroor peyda karta. Yehi
makhfi rishtah Kainat ke poorey afrad ko aik dusrey ke sath munsalik kiye hoey hey.
Yehan es
haqeeqat ka inkishaaf hota hey ke tammam Kainat aik hi hasti ki malakiyet hey.
Agar Kainat ke mukhtalif ajsaam mukhtalif hastiyo’n ki malakiyet hotey tu yaqeenan
aik dusrey ki roshnaasi mein tasaadam peda ho jaata. Aik hasti ki malakiyet dusri
hasti ki malakiyet sey mutarif hona hargiz pasand na karti. Quran Pak ney es hi
maalik hasti ka ta’ruf Allah sey karaya hey. Asmaaye muqdasah mein yehi lafz
Allah Ism zaat hey.
Ism zaat
maalikaanah haqooq rakhney wali hasti ka naam hey aur Ism sifaat qaadiranah
haqooq rakhney wali hasti ka naam hey. Oper ki satro’n mein Allah Taala ki
dono’n sifaat Rehmat aur Qudrat ka tazkirah hua hey. Har Ism Qaadiranah sifat
rakhta hey aur Ism zaat Maalkaana yani Khalqiyat ke haqooq ka haamil hey. Es ko
tasawuf ki zubaan mein Rehmat kehtey hain. Chunachey har sifat ke sath Allah Taala
ka Qaadriaanah aur Raheemanah wasaf laazam aata hey yehi do ausaaf hain jo mojoodat
ke tammam afrad ke darmiyan makhfi rishtah ki hesiyat rakhtey hain yani suraj
ki roshni ahl-e-zameen ki khidmat guzaari sey es liye nahin inkaar kar sakti ke
ahl-e-zameen aur suraj aik hi hasti ki malakiyet hain. Wo hasti Maalkaanah
haqooq mein Hakimanah qudrato’n sey mutasif bhi hey aur es ki Rehmat aur Qudrat
kisi waqt bhi es baat ko gawarah nahin karti ke es ki milkiyetein aik dusrey ke
waqoof sey munkar ho jaayein kiyun ke aisa honey sey es ki Qudrat par harf aata
hey. Es tarah har nuqtah takhleeq par Allah Taala ke do ausaaf Rehmat aur
Qudrat ka musalat hona laazim hey chunachey yehi dono’n ausaaf afrad Kainat ka
bahami rishtah hain.
Ab yeh
haqeeqat munkashif ho jati hey ke nizaam Kainat ke qayam, tarteeb aur tadween
par Allah Taala ke do asmaa ki hukumraani hey. Aik Ism Allah aur dusra Ism Qadeer.
Tammam asmaaye sifat mein sey har Ism in dono’n asmaa ke sath munsalik hey.
Agar aisa na hota tu afrad Kainat aik dusrey sey roshnaas nahin reh saktey they
aur na in sey aik dusrey ki khidmat guzaari mumkin thi.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi