Topics
Asmaaye
ilaahiya teen Tanzalaat par munqisam hein.
Awal: Asmaaye Itlaaqiah
Doyem: Asmaaye Aeyniyah
Soyem: Asmaaye Koniyah
Asmaaye itlaaqiyah
Allah Taala ke wo Naam Hain Jo Sirf Allah Taala ke Ta’ruf mein hain. Insan ka
ya mojoodaaat ka in sey barah e raast koi rabt nahin. Maslan Aleem. Ba’hesiyat
Aleem ke Allah Taala apney Ilm Aur Sifaat Ilm sey khud hi waqif hain. Insan ka
idraak ya zehan ki koi parwaz bhi Allah Taala ke “Aleem” honey ke tasawur ko kisi
tarah qayam nahin kar sakti. Aleem ki yeh noiyat Ism itlaaqiyah bhi hey yehan
par Ism itlaaqiyah ki do hesiyatein qayam ho jati hain. Aleem ba’hesiyat zaat
aur Aleem ba’hesiyat waajib baari Ta’lah. Aleem bahesiyat zaat baari Taala ki
wo sifat hey jis ki nisbat mojoodat ko haasil nahin aur Aleem ba’hesiyat waajib
baari Taala ki wo sifat hey jis ki nisbat mojoodat ko haasil hey pehli nisbat tanazul
awal hey.
Asmaaye
itlaaqiyah ki ta’daad Ahl-e-Tasawuf ke nazdeek taqreeban giyarah hazaar
(11,000) hey. In giyarah hazaar asmaaye itlaaqiyah ke aik rukh ka aks lateefah
Akhfaa aur dusrey rukh ka aks lateefah Khaffi khelata hey. Es tarah pehli
nisbat mein sabtah Allah Taala ki giyarah hazaar (11,000) sifaat ka majmooah
hey. Sabtah ka naqsh parh kar aik sahib israr in giyarah hazaar (11,000)
tajalliyo’n ke Aalam Misaal ka mushahidah karta hey.
Sabtah ko
jab Aleem ki nisbat di jati hey tu es ka mafhoom yeh hota hey ke mojoodat Allah
Taala sey bahesiyat aleem aik waastah rakhti hey lekin yeh wastah bahesiyat kul
nahin hota balke bahesiyat Aleem juzv hota hey. Ba’hesiyat kul wo hey jo Allah Taala
ka apna khasoosi Ilm hey choonachey Sabtah ke zariye Allah Taala ney insan ko
asmaa ka Ilm atta farmaya tu issey Aleem ki nisbat haasil ho gayi. Es hi Ilm ko
ghaib akwaan kehtey hain. Es Ilm ka hasool Aleem ki nisbat ke tehat hota hey.
Qa’noon:
Agar insan
khaali-ul-zehan ho kar es nisbat ki taraf mutwajo ho jaye tu Sabtah ki tammam
tajalliyaat mushahidah kar sakta hey. Yeh nisbat darasal aik yaad’daasht hey.
Agar koi shakhs muraqbah ke zariye es yaad’daasht ko parhney ki koshish karey
tu idraak warood ya shahood mein parh sakta hey. Ambiya aur Ambiya ke wiraasat
yaaftah groh ney tafheem ke tarz par es yaad’daasht tak rasaai haasil ki hey.
Tarz e Tafheem:
Tarz-e-tafheem
din raat ke chabees ghantey mein aik ghnatah, do ghantey ya ziyadah sey ziyadah
dhaai ghantey soney aur baqi waqt bey’daar rehney ki aadat daal kar haasil ki
ja sakti hey.
Tarz-e-tafheem
ko Ahl-e-Tasawuf “Ser “Aur “ Fateh” ke naam sey bhi ta’beer kartey hain. Tafheem
ka muraqbah nisf shab guzarney ke baad karna chahiye. Insan ki aadat jaagney ke
baad sona aur soney ke baad jaagna hey, wo din taqreeban jag kar aur raat so
kar guzaarta hey. Yehi tareeqah tarbiyat ka taqaza ban jata hey. Zehan ka kaam
dekhna hey. Wo yeh kaam nigah ke zariye karney ka aadi hey. Fil-waaqia nigah zehan
ke alawah kuch nahin hey. Jaagney ki haalat mein zehan apney mahol ki har cheez
ko dekhta , sunta aur samajhta hey. Soney ki haalat mein bhi yeh amal jaari
rehta hey albatah es ke naqoosh geherey ya halkey hua kartey hain. Jab naqoosh
gehrayee hotey hain tu jaagney ke baad haafizah in ko dohra sakta hey. Halkey
naqoosh hafizah bhula deta hey. Es liye hum es purey mahol sey waqif nahin
hotey jo neend ki haalat mein hamarey samney hota hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi