Topics
Duniya mein hazaron insan bastay
hen. Her insan doosray ki zinadgi say na waqif hey. Yaani her insan ki zinadgi
raz hey jis ko doosray nahin jantay. Es raz ki ba dolat her insan apni
ghalatiyon ko chupatey hoeay khud ko behter paish karney ki koshish kerta hey
aur misali banna chahta hey. Agar es ki ghaltiyan logon kay samnay hoten tu
phir wo khud ko behter zahir karney ki koshish na kerta aur zinadgi ka irtaqa
amal mein na aata.
Ilm
Husooli
Insane zinadgi ki saakht mein kuch
aisey anasir istamal hoeay hen jo shaoor ki nigha say poshidha hen aur shaoor
ko misali ya aala zinadgi ki taraf maayel kartey hen. Goya Akhfaa aisi haqeeqat
hey jis ko irtaqa ka naam day saktey hen. Insani sakht ki yeh hi khsoset es ey
jawaron ki sakht say mmtaz kartee hey. Lekin heawane zinadgi kay anasir heawan
kay shaoor say makhfee nahin. Her ek heawan kay aamal mawayan hen jin ko es ka
shaoor poori tarhan janta hey. Es hi baas ek janwar khud ko doosray janwar say
behter zahir karney ki koshish nahin krta.
Insani saakht ka yeh Shaoori
imtiaz hi tamam Uloom o funoon ka makhraj hey. Insan ka yeh hi Shaoori imtiaz
insan ko apnay Lashaoor say juda kerta hey. Yaheen say insan aisi hud qayam kerta
hey jo Ilm Huzoori kay ajza say ek Ilm ki dagh bel dal deti hey. Yeh hi Ilm
tamam tabayee Uloom ka majmawah hey. Tassawuf ki istalah mein es ko Ilm Husooli
kehtey hen. Es Ilm kay khadokhal zyadah ter qayasat aur mafroozat per mushtamil
hotay hen.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi